Anubhav's side

384 26 14
                                    

The night went like this nitya came down when she was called for dinner but she wasn't present here mentally, mpt was asked to get up at 5o'clock for training ,

_____________________

Anubhav's side

Dekhiye, aap sab choukanne rahiyega hame koi bhi risk nahi lena hai , wo kahi bhi asakte hai kaise bhi understood " Anubhav ordered 5 other officers they nodded "

Sir apne main entrance ke samne to kisi ko taynat nahi kiya ,mujhe lagta hai sir wohi pe kuch hone wala hai " one of the officer said "

Yes sir mujhe bhi lagta hai isiliye waha hame jyada focus karna chaiye " another officer said "

Hmm...risk to hai per hame lagta hai jyada khatra dinning hall mein hoga " Anubhav replied "

Per sir wha to jyada bhir bhar hogi to waha wo log kaise kareb3g " 3rd officer said others nodded "

Isiliye to Ravi wo log wohi jaga chunenge jyada bhir hogi to kisi ko unper Shak nahi hoga aur wo log apna kam asni se karlenge aur to aur unlogo ko chakma deke bhagne mein asani hogi " anubhav said " umm ek kaam karo , Ravi , kishan tum dono hamara sath uper r3hna dubeyji aap control room se humsabper nazar rakhiyega aur kuch bhi ho to hame hoshiyar kardijiyega ham blootooth se connected Rahenge sab , krish aur Prem tumsab neeche rukna aur ane jane wale harr guest ko check karna ok "

Ok sir " they said in unison "

Now all take your position's

Aur koi problem ho to hame bata Dena ki kya baat hai hum kuch chutne nahi desakte

Per sir deal to kal hone wali hai na to phir ham aaj se hi kyu " krish asked "

Kyuki Wolog kal kab ayenge ye hame pata nahi aur unka koi bharosa nahi hosakta hai wo aaj bhi ajaye ane ke chances to Kam hai perantu hame risk lena afford nahi karsakte ,bijay bakshi ka khass admi hai ye krip isko pakad liya to bijay ki garden bhi hamari mutthi mein hogi " Anubhav said greeting his teeth and fisting his hands "

The day went for them nothing much happened there everything seemed normal ,they in night went to stay at a very nearby place , so they can come tomorrow early.

Anubhav was lying on the bed but his mind was disturbed by all the incidents which were happening from few days

Cheezein sahi sthal per arahi thi hum bhi itni chotein ,thokre ,peeda sehkar sambhal na seekh rahe the , desh ke prati apne kartavya ko hi apna nishtha banakar apna jeevan vyatit karrahe the, kitne mehnat se apne bete huye kal ko samapt karke apne jeevan mein jeene ka prayas karrahe the , jo ghav hame apne apno se mile wo bhare na bhare parantu unka dard apne sharir aur hriday mein leeye jeena sikhchuke the , kisi per bharosa na karna chahte the per jo manushya roopi bhagwan jaise mitr aur pita samaan uncle mile unke sath mein jeevan kuch hadh tak khush the phir kyu unka wapas hamari jeevan mein agman hua kyu , ab jaise bhi ho hum jee to rahe the na hamare zakhm to bharna shuru huye the ki wapas inhe hamari zindagi mein bhej diya, prabhu ye kaisi leela hai apki jis karve satya se hum bhag rahe the zindagi hame usi ke sameep lakar rakh diya , apna ghar, apna parivar apna pyar,apna astitva apni asli pehchan tak ko humne daav per lagaya tha badle mein hum keval unka biswas mangte the "he said emotionally" kya hame kisi ka biswas aur sath paane ka koi adhikar nahi , kya manga tha humne ek saral jeevan keval thodi khushiya apni haseenaji ka sath , kya ye humne apne swarth se adhik mangliya prabhu kya hame khush rehne ka sadharan jeevan jeene ma koi adhikar nahi hai " a tear escaped his eyes " balpan mein baba humse kaha karte the , *Anu tum sabke liye accha karna yahi tumhara dharm hai per badle mein kuch asha mat karna yahi tumhara karm hai , sabke liye bhala karoge to tumhe baki sabke madad ki jarurat nahi paregi swayam bhagwan tumhari madad karenge *  baba humne apke baton ko akshar sa akshar palan kiya humse jitna hosake utni humne madad ki sabko khush rakhen ka prayas kiya aur badle mein kabhi kisi se kuch apeksha nahi rakhi , bass ekbar bass ekbar hj aur apni behen se ek apeksha rakhdi ki sayad wo hame samajh Jaye , ha hame garv hai ki undono ne apne desh ki chuna hum bhi yahi chahte the perantu pata nahi kyu hamara hriday maan hi nahi paraha ki unhone humper...humne unke samajhne keliye bohot se lupched chore the parantu unhe kuch samajh hi nahi aya ya sayad wo samajhna hi nahi chahte the , hamare kehne se pehle hi hj ne hame doshi maan liya tha isiliye usidn phone per wo sab " his eyes was showing a lot and lot of pain and miseries which he hide from everybody but how could he hide it from himself the truth is the Anubhav singh is shattered and broken who is still acting as nothing happened to him " humari bhagya mein prem aur apna pan nahi hai ye humne maan liya hai koi hamare kareeb ata hai to ya to wo humse door chala jata hai ya to unko kuch kshati pahuchti hai "wiped the tears and chuckled " sayad hamare bhagya mein akele rehna hi likha hai khush hona hamare lakeero mein hai hi nahi , isiliye to nitya bhi humse rusht hogayi , beete 2 varsho mein pehli baar nitya ne humse 2 din se theek se baat nahi ki aur aaj to ekbar humse Milne bhi nahi ayi in between 2 varsho mein humne bohot kuch khoya hai apna name apni pehchan apna astitva apna parivar apna pyar parantu humne paaya bhi hi " smiled a little " ek alag pehchan nsp deputy in chief vidyut "proudly" pita saman commissioner uncle jo hamare baba ke ghanist mitr bhi the unme hame baba ki parchai si Nazar ati hai , aur 2 badmash mitr , pata hi nahi chala kab , hum Anubhav se vidyut main parivartit hogaye , aur ye Bose family ab hamari jeevan ke ahem hissa bangaye , apne priye matru bhasha Hindi se prem rakhne wale hum ab sabke samane karwi angrezi ka prayog karne lagaye hai , baton ko golmol ghumane ke sath sath jo logo ko golmol ghumakar rakhdene wala jwalamukhi  wo agent ab bandh darwaje mein nahi khulle aam phat jaata ha jiske chaapete mein kuch bhi asakta hai ,hum purn tarah se badalchuke kyuki jaise hum the yani Anubhav wo to usidn marchuka tha jab uski zindagi ki 2 sabse kareebi striyo ne usper goli chaiyi thi ab jo hai wo keval vidyut hai jiske liye koi rishtey koi naate mayne rakhta jiska sirf ek hi usool hai ek hi dharm ha ek hi laksh hai wo hai hamari Bharat maa ko surakshit rakhna,"he said his voice dangerously cold " ab haseena mallik aur karishma singh ko batana hoga ki Anubhav singh ab wo purana wala Anubhav nahi raha wo apna kal kal hi chor aya hai aur iss vidyut keliye wo kuch mayne nahi rakhte iske jeevan mein sirf 4 hi log ehmiyat rakhte hai , com uncle , Nitya nitin aur maa " emotionally" maa kash aap yaha hoti "closed his eyes and when deep sleep took over "

______________________________________

Aaj keliye itna hi milte hai agle parts mein tabtak keliye

Stay tuned spread positivity

- jai hind -

Precap- starting the mission and entry of .....

rishto ka anokha dor - Mission Behrupiya Where stories live. Discover now