Part 13

2.1K 88 3
                                    

Meerab and Murtasim coming to the room.

Meerab angrily takes away her jewellery and Murtasim feels her pain.

She takes her clothes from closet and going to change.

After half an hour.

Meerab comes from the washroom and Murtasim is getting worried for her and waiting there.

Meerab sitting on the bed and Murtasim comes and sit next to her and said;

Murtasim:Jo kuch bhi hua I'm sorry.Aisa nahi hona chahiye tha.
Meerab:Koi nahi na mera is liye koi bhi aa jata hai mujh pe apna taqat azmane aur yeh ehsas dene mein kitna akeli hu.
Murtasim:Aisi Baat nahi hai Meerab.
Meerab:Aisi Baat hai.Kya ho gaya Maine thoda dance kar liya to mere irada tum sab ki be izzati ka to Bilkul nahi tha.Lekin tum logo ne to zara si baat ko apna izzat ka masla bana diya.
Murtasim:Rewayat hai yeh.
Meerab:Rewayat nahi ped ki zanzir hai.Aur yeh Kaisi rewayat hai ki tum logo se uski khushi chin lo.Jitta jagta insaan hu mein koi katputli to nahi ke jaise bologe waise hi karungi.Meri khushi se kisi ko bhi koi parwah nahi hai.
Murtasim:Parwah hai is liye to Waqas chacha tumhare age dhaal banke khade ho gaye.
Meerab:Jab sach mein dhal banna tha tab to nahi bane aab kya faida.
Murtasim:Purane baten bhula kar ek nayi tarike se shuruwat karo.
Meerab:Bhulna itna asan hai kya Murtasim.Yeh jo tum itne gurur se khudko Khan Shahnawaz ke bete kehte ho yaha ke zamindar ho agar kaal ko koi aake tumhe yeh bolde tum unke bete hi nahi ho to kaisa mehsos hoga.Jaha meri Duniya ujad gayi ho woha tum log masruf ho Mujhe rewayat sikhane.Kabhi yeh socha hai Meerab kya mehsos kar rahi hai Filhal.Tum log kyun sochte tumhe to yeh dekhna hai mein kitni Baittamiz hu kitni dheet hu.Ek baar mere jaga khud ko rakke socha hai kabhi mere dil mein kaise kaise tofaan uth rahe hai.Mera wajud mera shanakt sab chin chuka hai Lekin kisi ko koi parwah hi nahi tha.
Murtasim:Sab ko parwah hai tumhari.Aur raha sawal Maa ka to woh bahar se jitne bhi shakht kyun na ho andar se bohot naram dil ke malik hai.Tum khud ko is ghar ka hissa to samjho dekhna Ahista Ahista tum sab ko samaj paoge Aur sab tumhe apna lenge.Trust me.
Meerab:Yeh trust hi to nahi kar paa rahi ho kisi par.Apno ne jo jhakam diye usko baad Yakeen karna bohot mushkil hai mere liye.
Murtasim:Mujh par apna Yakeen rakkhe to dekho kabhi tumhare bharose ko dagha nahi karunga.Aur mein wada karta hu aaj ke baad koi tumhare sath koi bad saluki nahi karega.Mein hu tumhare sath humesha.

Meerab looks at him.

Murtasim:Chalo so jaate hai.Bohot thake hui hoge tum.Aur is bade mein jyada mat socho warna bimar pad jaoge.
Meerab:Meri fiqr hai tumhe?
Murtasim:Sach bolu?
Meerab:Sach sunne ke liye hi sawal pucha hai maine.
Murtasim:Jitna parwah mein tumhari karta hu na aise parwah Maine kisi ke nahi kiya.
Meerab:Aisi Baat hai?
Murtasim:Aisi hi Baat hai.
Meerab:Accha tarika hai Mujhe apne baton mein uljhane ka.

Murtasim smiles.

Then Meerab lying down to bed for sleep then Murtasim also coming to bed for sleep.

In the study room.

Murtasim is looking some paper,Bhabi begum's there;

Bhabi begum:Biwi ke wajah se maa se narazgi dekhauge aab?
Murtasim:Kaal aap ne jo Kuch bhi kya uske liye mera naraz hona banta hai Maa.Aap ne kaal ko meri biwi pe hath uthane ki koshish ki.
Bhabi begum:Galti uski thi.
Murtasim:Agar usne Galti ki to use saza mein deta.Aap ko aise bhari mehfil mein uska tamasha nahi banana chahiye tha.
Bhabi begum:Aur kaal jo usne humari tamasha banai uska kiya.
Murtasim:Anjane mein usse Galti ho gayi aap bade the use samjhana chahiye tha par aab to saza dene ke liye tayar ho gayi.
Bhabi begum:Saza nahi deti to kya sad pe uthake nachti.Pata hai kaal logo ne Mujhe kaise kaise baten sunai.
Murtasim:Logo ka parwah nahi hai Mujhe.
Bhabi begum:To kya sirf uske parwah hai tumhe?
Murtasim:Usko izzat de Maa to bhi is khandan ki Rewayat ki izzat karegi.Agar aap uske izzat nahi karenge to kaal uska koi izzat nahi karega.Woh koi aam ladki nahi hai is gadde ki jaanashin ki biwi hai.Uske be izzati nahi honi chahiye.Warna kaal koi hume izzat nahi dega.

Bhabi begum looks at him.

In the room.

Meerab arranging her wedding jewellery,Anila comes to her.Meerab told to her;

Meerab:Aap ne Kaha tha shaadi ke baad mein rani banke rahungi.To ek qaid ki malika aap ko kaisa lag raha hai.
Anila:Qaid ki Malika nahi ho tum.Sath denewala humsafar hai sath.Jo tumhare liye apni maa ke samne khada ho gaya.

Anila holds her hand and said;

Anila:Tum Mujhe apna ma mano ya na mano tum meri beti ho.Jis ko Maine sine se laga ke bada kiya.Aaj wohi maa hone ke nate bol rahi hu
Yeh jevrat yeh sab kuch bas dikhane ki chij hai.Tumhari asli khajana pata hai kon hai?
Meerab:Kon?
Anila:Murtasim.Woh bohot acche hai beta.Kadar karo uski.Tumhare halat ke Zimmedar woh nahi hai.Tumhare aaj ki yeh shano shauqat usi ke wajah se hai.Tumhari pehchan hai woh.
Meerab:Mera koi pehchan nahi hai.Jo pehchan the woh to aab sab ke milke chin liye mujhse.
Anila:Jo hua woh qasur halat ka tha.Aur apni Bewokufi ki wajah Murtasim jaise hire ko nahi gawana.Rishtan nibhana janta hai woh.Tumhari khatir puri Duniya se lad sakta hai.Mujhe Yakeen hai tum par sahi galat ka samaj hai tumme.Rishton ko nibhana tum bhi jante ho.Bina kisi ki Galti kiye kisi ko saza nahi doge.Khush raho humesha beta.

Anila drop off some tears and touched her hair and left.

Pret Ki Dori Uljhi Thare SangΌπου ζουν οι ιστορίες. Ανακάλυψε τώρα