HAMDARD II

3K 120 21
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

" Beta, utho, tum bilkul theek ho" Abeer ne is bachy ko uthana chaha tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

" Beta, utho, tum bilkul theek ho" Abeer ne is bachy ko uthana chaha tha. Wo masoom si jaan Abeer ko in pechly 10 ghanton main bohot aziz ho gai thi. Aur wo us ka naam bhi nahi jaanti thi.

....


Musa ko apny sarhany kisi ka shafqat bhara lams (I don't really know what this word means and google was no help so if any of you know do let me know) mehsoos hua tha.

Bukhaar ne abhi bhi shiddat ikhtiar ki hui thi. Musa bamushkil hi aankhein khol paya tha.

Aankhe kholty hi nazar saamny ek aurat par pari jo muhabbat se es ki peshaani pe hath rakhy bethi thi. ( I think peshaani means forehead??)

hosh main aaty hi pehla khayal apni nanhi si behan ka aaya tha.

"Aunty- me-meri be-behen?" Musa ne ekdam sawaal kia tha.

Abeer ko heirat hui thi us bachy ke sawaal pe.

"beta aap mery husband ko shayad apny ghar ke bahar mily thy. Meri jaan itni sardi main ghar se bahar kia kar rahy thy?" Abeer ne haath us ke sar pe pherty sawaal kia tha.

Abeer ke pyaar ko dekhty to jese Musa ke kai mahino ki talab poori hui thi. Kon hi tha us ka jo itny pyaar se sar par haath pherty ye sawaal karta? Lekin ye waqt muhabbat paa ke khushi manany ka nahi tha, ye waqt to apni behan ka pata karny ka tha.

" Aunty- mer- meri behen ghar- ghar hay. Mama-mamani ne pata nahi usay doodh dia ho ga ke nahi. Wo raat ko bhi bohot ro rahi thi." Musa bamushkil hi bol paya tha.

Abeer ke seenay main to shayad aag lagi thi. Kin zaalimon ke paas thy ye bachy.

"Mera bacha fikar nahi karo. Ham tumhain bhi Yahan se Ly jain gay aur tumhari behen ko bhi. Lekin tum logon ke naam kia hain? Aur tumhary parents kahan hain?"

Abeer ke sawal pe Musa ki aankhon main ek baar phir aanso aay thy.

"Mera naam Musa hay. Aur meri behan ko main guriya bolata hoon. Us ka aur koi naam nahi hay. Aur mery parents bhi nahi hain...." Aur phir Musa ne saari aap beeti us naik aurat ko sunai thi. Bohot apni si lagi thi wo usay.

ArdencyWhere stories live. Discover now