Part 26

1.4K 102 20
                                    

Lets continue from where we left off.

K- I know tum bohat gussa ho mujse per meri baat suno. Mere paas bhi reason hai mere action ke piche. Please meri baat sunlo ek baar.
Ab- Thik hai bolo
K- Yaha nahi Akshuse disturb hoga hum vaha couch pe bethke baat karte hai. Abhimanyu jab tum Akshu ka check up karrahethe tab mene Arohi ko dekha to mene uska picha kiya.
FLASHBACK:-
Kairav ran after Arohi and stopped her at a secluded corner.
K- Aru tu yaha kya karrahi hai aur bade papa ne yeh sab kya tamasha lagarakha hai. Zarur tunehe gharpe sab ko uksaya hoga Akshu aur Abhimanyu ke khilaf.
Ar- On please bhaiya mere paas apki behen oh sorry pyaari behna ke bareme baat karne aur sochne ke alava aur bohat important kaam hai. Mere paas mera career hai jispe me focus karti hu Akshara ki tarha tun- tuna nahi bajati. Meri job me muje bohat focus karna padta hai aur bohat mehnat bhi karni paddti hai.
K- Pata hai tu apni jobpe kitna focus karti hai, tabhito tune badepapa ko Akshu ki condition ke bareme jooth kaha aur uss vajahse Akshu ki halat bhigad gai aaj aur phir yeh sab kidnapping and all. Tum kya chati ho Akshuse kyu usse chainse jeene nahi detiho. Aur tu jo apne career ke bareme bol rahi haina vo hum sab ko pata hai tune kitne paise deke kharida hai.
Ar- Me... me Akshara jo chainse jeene nahi deti arre me nahi vo muje chaise jeene nahi derahi hai. Ek to meri mumma-papa ko mardiya mujse bohat dur kardiya. Bachpanse anath kardiya. Phir bade hone par meri shadi toodvadi phir khudhe fix karvai aur phir meri shaadi ke he din merihe honevale pati ke sath bhag gai. Mera mazak banadiya aur phir kud shadi karne vali thi. Aur itna kafi nahitha to mera careerhe barbad kardiya, accident ke bareme bata kar.
K- Manjari aunty ka accident tujse huvatha usme Akshu ki koi galti nahi thi. Tujse vo accident huva tha.
Ar- Thik hai I accept mujse huva accident per vo marito nahina, Manjari aunty thik hoke aagai na ghar to phir Akshara ko sach bataneki kya zarurat thi. Chup rehke mera career to bacha sakti thi na. Khud ka koi career nahi hai issliye mujse mera bhi career cheenliya. Ussne mera sath jo-jo kiya hai na uski usse aab saza milrahi hai. Aur mere sare dukh ke samne to uski yeh halat kuch nahi hai me pray karungi ki vo zindagi bhar aisi rahe kabhi thik na hopai, manhoos kahi ki..
K- AROHI

And Kairav slapped Arohi she stumbled and fell on the floor.

K- Bass bohat hogaya bohat bolliya tune meri Akshu ke khilaf aur bohat suun liya mene meri behen ki khilaf. Bohat shokh hai na tuje manhoos manhoos khelne ka. To su manhoos meri Akshu nahi tum ho AROHI GOENKA TUM. Manhoos thi vo gadhi jab mene Sirat maa dekha, manhoos tha vo pal jab mene unme apni mumma ko dhundha, manhoos tha vo samaj jab me unhe apne gharme laya, manhoos thi vo soch jab mene papa ko unse milaya, unse shadhi karai unhe meri mumma se move-on karvaya, Manhoos tha vo din jab tu paida hui, tere paida hone ke baad sab kuch bigad gaya tere paida honeke baadse meri Akshu har ek din tadpi hai, har ek din vo roi hai, rah ek din usne compromise kiya hai, har ek din usne apni khushiyo ka balidan diya hai, har ek din meri Akshu ne tuje uske hisse ki cheze bhikhme di hai tuje. To AROHI manhoos meri behen nahi tu hai tu.
Ar- BAS BOHAT HOGAY. Bohat sunli aapki bakvas aur ha aap na apni hadme rahiye varna me apki pyaari behnako sab sach batadungi uski health ke bareme aur according to you mene bohat jurmkiye hai na to let me tell you muje ek aur jurm karneme koi sharam nahi ayegi. Mere paas access hai sari medicine ka soch lijiye kya hoga Akshara ka agar usse ek galat davai dedi jaito.
K- Tum aisa kuch nahi karogi Arohi.
Ar- Try me bhaiya me apni manzil panekeliye kuch bhi karsakti hu. Phir chahe ek chotisi pill exchange kyu na karini pade. 
K- Nahi tum aisa kuch nahi karogi.
Ar- Acha chaliye ek deal karte hai aap badepapa ko Abhimanyu se bachaoge aur unhe kuch nahi hona chaheye aur agar Abhimanyu unpe case kare to aap vo nahi hone dogi, agar aapne aisa-vaisa kuch bhi kiya to phir ready rehna apni ladli, apni mumma ki akhari nishani ko kandha dene.
K- AROHI.
Ar- Shant bhaiya shant me aapse shantise baat karrahi huna to phir boliye manjoor hai meri deal.
K- Thik hai magar tum Akshu ko kuch nahi karogi aur nahe aajke baad uske aas-pass bhi dikhogi.
Ar- Done than me Akshara ko aaj kuch nahi karungi. Me aapko apki behen ki zindagi bhikh me detihu meri tarafse tofa.
Saying so Arohi left andd Kairav came back to Manish Goenka.
FLASHBACK END.

Who's FaultWhere stories live. Discover now