Chapter 2 | Haseen daasatan

471 54 7
                                    

I don't know if you're liking this story as there were no opinions shared, I appreciate if you share your thoughts and let me improve. Specially about the writing style.

_________________

Happy reading...!
_________________

Past 2020

Past 2020

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Ye aisa nai ki tum dusro ki tarah nai ho, bas ye ki is duniyan me koi aur tumari tarah nai hai.

Aaakir kaar Amma ke kehene pe hum aa pohonche yehan, ee yaan pe khana banane aur uu culnina..culni....bakh hum tho bolna bhi nai ata kya khana banayenge aur upar se ye barish.

Hume barish bikul pasand nai hai!

Hum kade the college ke andar jane, gate ke paas, baarish bohot tez thi tho hum wahi ek jagah pe ruk gaye, aur humne dekha ek ladki Jo bacho ke saath baarish me bheeg Rahi thi, dikne me laga ki uu humse lambi hai, baal ek dum seeda, mulayam sa Lage. Chehera dek nai parahe the par Hume dekhna tha, kyu? Pata nai.

Baarish ka koi itna aanand kaise utha sakta hai, wo bhi keechad me khud khud ke. Baarish thodi si Kam Hui, aur hum baghte huye college ki orr gaye.

Hum college ke karyalay ke bahar kade the, jaye kahan kisse puche, phir humne dekha, "suniye..." Uuhan Jo peon uncle baite the, "hum yehan first year me aye hai, hum kisse mile?" Humne pucha,

"Oh accha, yehan se seeda jayiye, block two, aur wahan Gunjan naam ki ladki hai, third year ki, unse puchiye apko aage ka pata chalega" itna kehete hi wo mere aage chalne lage, jaise mujhe apki manzil thak ponchaya jaye. "Dhanyawad" me ne kaha aur wo chal pade. Phir me ne dekha ek block two, waha koi tha, "umm...Gunjan?" Hum ne deemi awaz me pukara.

"Yes?" Unhone mudke dekha.

"Hum, Karishma Singh, peheli varsh ki vidyartini.."

"Culinary arts?"

"Ji wahi!" humne hamara aank par ungli raki, "usko hindi me kya bolte hume abhi pata nai, aur angrezi me hume bolna nai ata,"

"shud hindi, nice" unhone muskuraya aur humne bhi thoda sa muskuraya, "Acha agar admission hua ho tho Audi me jayiye, aur agar hostel ki bhi admission karani hai tho...lo agayi tum" unhone mujhse baat karte karte mere piche dekha.

"Phirse bheeg gayi tu Haseena.." jaise unhone kaha me ne piche mud ke dekha, ye tho wahi tho Jo uu bahar baarish me bacho ke saath khel Rahi thi.

"I love rain Gunjan!" Unhone apne baal jade, kuch Pani ki boonde humre chere pe aagire, aur hum, hum bas unhe dekhte hi rehe Gaye. Na jane kyu Nazar hi nai hatrahi thi unpar se.

"Karishma..!" Pata nai kabse pukar Rahi thi mujhe aur hum ye aise kho Gaye the unke aanko me.

"Ji!?"

"Hostel ki admission chahiye?"

"Ji ji, hai matlab ha, chahiye" jis tarah se ee gunjan Hume dekhrahi thi hume bilkul joker lagrahe honge.

" Fine, Haseena over to you"

Phir unhone mujhse koi baat nai ki, humare aage chalne lagi, hume kuch aur samj hi nai aye, wo hamare aage chalne lagi, aur hum boot banke ke khade the waise ke waise, aise laga ki hum humare upar se niyantran kho baite hai, suj-bhuj sab bhul gaye, kuch kadam jaake unhone hamari taraf unke kando ke upar se dekha, peheli baar unhone hume dekha aank utha ke, aur hamari aankhe unke us nazar ko kabhi bhula nai payenge,

"Chalo" hamari aanke unke honto par ja ruki, unka wo til, " excuse me, Chalo" humne hamare sochne samajne ki shakti khogaye the,aur hamare per unke piche piche chalne lagi. Jaise manzil khud hume bulava derahi ho.

"Aapka naam?" Unhone pucha, surili awaz thi, aur unki anke abh pir se dekhne ki himmat nai jhuta parahe the hum. kya pata phirse unme kho gaye tho. Bhakkk

"Karishma Singh"

"Karishma Singh" peheli baar hamara naam hume acha laga, sabse acha tho humara hi naam tha, bas hume Aaj pata chala. Lekin phir bhi humne uhne aank utha ke nai dekha, aur humne ye baat se itna fark kahe padraha hai nai jante.

"Chaliye..!" Phir hum kisi karyalay me aaye, aur ab humara hostel me bhi dakhil ho gaye.

"Offo Haseena, rooms tho sab full hai,!" Uu insaan me kaha jo humara form bhare aur mujhe chinta hone lagi, humne kaha tha Amma ko ki hum barti na hi payenge, kaksha ka number bar Gaya hoga, kaise bhi kar ke college me tho dakhil hogaye ab rahenge kahan?

"She can be with me, if she doesn't have any problem" Haseena ji ne kaha. Shayad unhone mere chehere pe shikanj dek li, lekin me inke saath kaise rahu? Inhone abhi thak humse dang se baath, baat ki tho mayyia ki sasu maiyya hamari or dang se dekha bhi hai ya nai uuhi pata nai.

"Really Haseena," unke chehere pe kuch ajeeb si muskurat thi jo hume bilkul samj nai aya, "not an issue" unhone aage kaha. Aur hum wahi kade ke kade rehe Gaye.

Lekin, wo hamare aage chali, aur hum jaise samohit hogaye the, bas chale Gaye unke piche.

***

Hum jab aye unke room me, ab humara bhi tho me ne dekha dusra bistar ek dum saaf, aise mano jaise koi unko istamal hi na kiya ho, "Humare saath ab thak koi nai Raha kamre me, ap hi wo peheli insaan hai jo hamare saath room share kar Rahi hai"

"Kahe?" Humne unki or dekha, wo apne baal toliya se sukha rahe the. Khubsurat Amma ye Hume kya horaha hai. Lekin ye haseen tho hai. Bilkul apni naam ki tarah, Bohot hi haseen.

Bhakkkk.

***

Waiting to read your thoughts!

Please do vote, comment and share it with your reader friends.

Thank you for reading!

Love
- Author ❤️

Infinitely YoursWhere stories live. Discover now