Chapter 3 | Shuruaatein

341 46 4
                                    

Acchhuuu

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Acchhuuu..!

I wiped my nose with my hanky, eww... right? I know.

With the current situation I now seriously feel that, I could have listened to someone who told me not to get drenched in rain. Sachme hume kisi ki baat mani chahiye thi, theen din huye hum lagatar barish me bheeg rahe hai, Delhi hai, aur yehan ki baarish kisi ko kya hi samjaye! Right.

Kalse hum classes bhi nai Gaye, aur cooking bhi nai ki, well culinary arts me hum isiliye aye ki hume acha lagta hai kanha banana. Everyday a new dish a new experiment, and new taste,Nate Nate dishes try karna, tho hum hai yehan.  I'm in the Final year finally, and I'm currently doing my internship, in, "The romance recipe" hotel or Restaurant .

I tell you, hotel behad khubsurat hai. Wo restaurant hai tho pahadi area me, It takes a toll on me that i need to travel from hostel till there, but again good things tests you every now and then. tho toda hume mushkile hoti zaroor hai par the view I get there while working ki worth it. Aur hamara Sara thakan bhi gayab ho jata hai.

Acchhuu...

Ya allah..!

"Uth gayi aap?" Karishma singh asked as soon as she saw me sitting on my bed, But this girl, I'm not able to understand her, she doesnt talk with holding my eye contact, and that special treatment is just with me. 

Hmmff

But, I do have a blurr visio of her taking care of me in the middle of the night. She's been taking care of me since three days now. And you know whats the worst part of it?

I'm Liking it, Ummmm.... may be loving it too somewhere.  

"Ji Karishma Singh, apke classes hogaye?"

"Pata nai, hum.. Aaj class nai Gaye"

Pata nai kyu, lekin hume lagta hai ye, yehan inko pasand nai arah, waje shayad hum hai ya kuch aur, pata nai. Zyada baat nai karti, lekin inki aanko ki chamak bohot kuch bayaan karti hai.

"Aap ke liye khane k liye kuch late hai, ap muh dho ligiyega, hum abhi aye.."

Hum uthe washroom aye, aur humne darwaze band hote huye suna. Humne haath muh dhoye, bahar aake bed par baite the, time tha, shaam ke sade-panch bajkar theen minute.

"Lijiye garma garam pakode,"

"Apne itni der kardi Karishma singh?"

"Ha ji, wo kitchen Khali nai tha, tho pakode thalte deri hogayi, soory"

"Wo SORRY hota hai Karishma singh" unki English, bohot cute lagta hai hume, aise zamane me, inki tarah koi aur bilkul nai hoga.

"Ha uuhi. Chaliye ab kha k bataiyega kaise bana hai" unhone sharmate huye kaha, like I know she was embarassed, lekin unke aanko me chamak thi, jaise humare opinions unko mater karte ho. Shayad karte hai.

Humne kha liya, "bohot swadisht the Karishma singh"

"Dhanyawad ji"

"Waise aap hume naam se kyu nai bolti?"

"Aap senior hai na humari tho naam kaise le?"

Cute. And innocent too.

"Aap hume naam se bula sakti hai. Yehan koi senior junior rules nai hai"

"Ji,"

"Hmm?"

"Ji Haseena ji" wo muskurai.

"Apke," and before i could complete, she gestured something, and until could react she was clos to me, very close, and her index finger touched my lower lip, and the next moment I was just frozed. I felt her wipe there, seeing her so close to me, I just couldn't react, just nothing. Hume bohot ajeeb laga, unko itne khareeb dek kar. Ajeeb isliye laga kyu ki hume unke itna nazdeek hona acha laga, aur jab wo dur Hui iss baat ka bura bhi laga. Kyu? Pata nai!

***

Humari badan tand se kaamp Rahi thi, aur hume bohit tez bhukar bhi chada tha,

"Ka hua Haseena ji, aap teek hai" Karishma ki awaz humne suni, wo hamare bagal me baiti thi, kuch hadbada hat k baad humne hamari mathe pe gila rumal mehesus Kiya, aur hamari aankon me asu the. Ammi ke baad agar koi humara itna kayal eak Raha hai tho wo yehi hai. Humne kabhi kisi ko dost nai banai, jab hamre sabse ache dost ki mout Hui, tanse le kar Aaj thak kisi ko hamare nazdeek ame ho nai Diya tha, lekin Karishma Singh kaise aagayi wo sab bandan Tod ke, hume koi idea nai, kyu ki humne ijazat kabhi di hi nai.

"Aap teek hai Haseena ji?"

"Ji, ab behtar lag raha hai, Thank you"

Unke mathe pe tanhaav ke shikanj the, jaise wo dar gayi ho, kisi apne ko kuch hone ka, ya unko khone ka. Sawal ye tha, kya wo koi apna hum the unke liye?

***

Please do vote, comment and share it with your reader friends. And do comment your thoughts and help me improve. 

Thank you for reading.

Love 

- Author ❤

Infinitely YoursWhere stories live. Discover now