Chapter 4 | Nazdikeeyaan

327 44 2
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Classes shuru ho ke do hafte huye the,aur is shaniwaar ko hamara bonding tha,matlab dost banane the, lekin abhi thak koi aise dost mila nai tha ki hum unhe apne dil se dost ka darja de sake, aur abhi hum tak gaye the classes attend kar kar e, bhakk koi itna kanah koi pakata hai kya, pura din bas kanah paokou khilou, phir daant bhi kaou!

Hum jaise hi hamara room me aye, let gaye bistar par, aur hume nai pata tha ki haseena ji bhi thi waha, "aap bohot tak gaye lagta hai Karishma singh? "

Hum seede huye aur unki taraf mude, "um..pata nai bas..." ka hi bole ab? samaj hi nai aya! Shayad unko hamara kashmakash dikahi diya. " Relax Karishma Singh, aap chahe tho humse baat kar sakti hai," unhone apna book band kiya jo wo padrahi thi, wo padti bohot hai, kabhi kavitaye, kabhi unke wo gajal, kabhi kahaniyan, kabhi kuch, " um..wo kuch bonding ka hai is shaniwaar ko, aur koi partner chahiye, tho hume koi mila nai bas, uske liye thoda pareshan the,"

"Itni si baat! Hum apke partner ban jate hai phir,"

"Ji?" ye hume sune me thoda ajeeb laga, "matlab bonding me Karishma Singh"

***

Kaise din beete pata nai chal, aur shaniwaar aa hi gaya, aur hum apne cooking table par the, Haseena ji ka intezar kar rahe the aur hume tension bhi horaha tha kyu ki waqt beeta jaraha tha, hume laga hum ee bonding me bagh na le payenge, phir wo baghti hui ayi hamre kande pe apna daina hath raka aur wo haap rahi thi, humne unhe pani di, " ka hua Haseena ji? ap der se aayi, hume laga hum tho gaye!"

" arry nai, last moment assignments the Karishma singh, tho Rita mam ne jaldi choda nai, I'm so sorry!"

"ji!"

Humne khana banana shuru hi kiya jab unhone hume madad k liye bola, unke apron bandne, jab hamara anguti unke banad ko chua na jana kyu jatka laga, wo bhi zor ka, shayad unko bhi mehesoos hua, par hum dono ne hi zyada dyan diya nai, par phir jab unhone hamar haath pakda hume cutting sikhane, wo humare piche kadi thi, piche se gale lagte huye, aur hum, hum kho gaye the, hume unke or dekhe, unki ankhe, unke wo honto ke paas ka til, unke wo hont, humare aanhke bas unhe hi taak te rahe,

"hum baki ka dekte hai.." unhone kaha, aur jaise hi unhone muda, hamare haato se unke angute kat gaye, "Oh teri.. soory haseena ji, dikaiye hume! " humne unke haath pakde dekha kuch zyada hi geheri chot lag gayi thi unko, bohot khoon behe raha tha, humne kuch or suja nai aur humne unke anghute ko apne muh me le liya, aur hum phirse unke aanko me kho gaye.

"Karishma Singh, hum...hum teek hai," unhone kaha phir hum laga ki hum kuch jyada hi unke khareeb gyae the, hum piche hate unke haat chodke. Hum unke liye patti lane gaye, pata nai ye konsi ehesaas jag rahe the hamare andar. Sab kuch peheli baar tha, ajeeb sa tha, na jane phir bhi acha lagta tha.

Unke chot lagne ke bawajood bhi unhone hamara madad kiya, aur khana humne banaya tha, tho ek dum bakwas tha, humne daant bhi khayi hamari madam se, par usse zyada hum chitna is baath ka tha, ki pehele Haseena ji ka chot ko patti bande, unhone bandvaya hi nai jab hum le ke aye the, kehene lagi ki room me bandva lenge.

***

"Arry Karishma Singh, humne kaha na, hum teek hai, hum karlenge, abhi hume...hume kapde bhi done hai," aur wo utke jane lagi, amma humko tho itna gussa aya na ki, humne unhe daant diya,

"Amma ka hai, dikkat ka hai apki? kabse dawai lagane bolrahe hai, koi na koi bahana bana rahe hai, kabhi bistar saaf karna hai, kabhi pustakon ko sametna hai, ab kapde done hai,aisi Kati Hui haat se kapde donyegi aap?" humne unke seedi haath ko pakda aur bitaya unko unki bistar pe, "ab chup chap rahiye eeha, hum hi laga dete hai dawai," hum laye dettol unke chot par lagane, "Karishma Singh, hum karlenge sachme, please"

"Ek dum chup, kaha na koi awaz nai chahiye abhi,hum lagrahe hai bas," jaise hi hum unko lagane shuru kiya wo chillane lagi, jaise pata nai kisi ne inki gala katt li ho,"arry, acha hume ab pata chala ki aap dawai kahe nai laga rahi thi, ap darti hai, apko dard hota hai dettol lagane se, tabhi tho" aur hum unhe chedte huye muskurane lage,

Wo thoda hatki, "aise,..aise koi baat nai hai, hum nai darte kisi se bhi"

"Acha?" Hum unke aanko me dekne lage, taki hum unke dyan batka sake, aur dawai ache selaga sake unko baato me ulja kar, par jaise hum unke anko me dekne lage hum khud ulajte gaye, unki wo anke, wo itni gehri thi, hume dar lagne laga ki kahi hum unme dub na jaye, aur pate ki baat tho ee hai ki wo bhi humari anko me dek Rahi thi, aur hume is baat ka dar lagna laga, ki ee ka horaha hai hamre saath, kaise ehesaas hai ye, uss dar ke bawajood bhi unke aanko se hamari aanke hati nai, unki aanke bhi jhuki nai, "chhh" Jab unhone dard se munh chipaya, tab main apne aanchal se bahar aye.

"Lijiye, hogaya, ab bas Patti kardeni hai" phir humne unke aanko me dekne ki himmat nai ki, na jane konsa Nasha tha unme, hum behek Gaye the. Aur ee hona galat hai.

***

Uske baad humne Haseena ji ke saath waqt bitaye, unko khana khilaya, lagi tho unko baya haath me hi tha, par wo tho ulta haath hi jyada chalati hai na, tho Daya haath unka jaise hume baya haath uu ka kehete hai angrezi me, haann...! lefty, lefty thi wo. Aur ab hum hamari bistar pe, wo kab ka so gayi, dawai ka asar bhi hoga, painkillers liye the unhone. Par na jane kyu hum unko dekte rehe Gaye, phir se.

Acha lagraha tha, unko sote huye dekhna, aur humari aankh kab band Hui hume khud bhi nai pata.

***

Thank you for reading, Please do vote and waiting to read to read comments. 

Love

Author❤

Infinitely YoursWhere stories live. Discover now