chapter 8 | Manzilein

203 36 2
                                    

Haseena ji se Ye nazdeekiyan badi sukoon de rahi thi, aur ye nazdeekiyan hume dara bhi rahe the, na jane Haseena ji hamare bare me ka soch rahi hogi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Haseena ji se Ye nazdeekiyan badi sukoon de rahi thi, aur ye nazdeekiyan hume dara bhi rahe the, na jane Haseena ji hamare bare me ka soch rahi hogi. Ka kahe, kya soche, ye ka horaha hai? Par hum us ehesaas ko hum pehechan sake usse pehele hamari trip ka date announce hua, jo hum sab ko Jana tha, jo kuch mahino me 3rd year ka classes katam hojate. Matlab Haseena ji chali jati teen mahino me! Lekin hum is khyal se khush the ki hume trip jane milega. Kuch samay unke saath aur bitane ka waqt jo mil gaya tha hume.

***

Wo din bhi aa gaye ki hume trip ke liye nikalna tha, hum zyada door nai yehi Amritsar, Agra aur Shimla ka trip tha.

Hum apne room mein ready ho hi rahe the, par uthne me siniors hume buane kage, jo student coordinators the, pata nai Haseena ji kahe coordinator nai bani.

***

Hum bus me chade aur dekhe iski maiyya sasu maiyya koi jagah hi nai hai humare liye, ek tho siniors or juniors sab ek hi bus mein the, lekin second years ka koi nai dikha tha hume, ab upar se hume baitne jagahnai hai, phir humne dekha ki last ke ek seat pehele ka do logon ka ek jagah kali thi, tho hum jaldi se ja ke uha bait gaye.

Hum bahar dekte baite the, aur hamara Nazar Haseena ji pargaya, wo Gunjan ji ke saath batiyate aarahi thi hamri bas ki aur, aur anjane me, hamara dua yeh tha ki bas Haseena ji hamare sath yehi bus me aaje, Aur lagta hai Shiv ji ne sun i hamari baath. Wo bus me chadi aur apne liye jagah dunrahi thi, aur unko dekte hi man me halchal hua, humne muskurai, hamari bagal wali seat khali thi.

"May I?" Unhone pucha hamare bagal ke seat ko ishara karte huye, "ji bilkul" aur aise hi wo hamare pas bait gayi. Bas ye ki hum jitna chahatete unke sath waqt bitane utna hi dar sa bhi tha, kyu ki hume tho aisa kabhi ehesaas nai hua, tho ye ajeeb sa ehesas inke saath kyu mehesus hota hai?

"Haseena piche aana waha kyu baiti hai" ye gunjan ji bhi na, kaha nai chodti Haseena ji ko akele, 

"Nai Gunjan, hum yehi teek hai, pura piche baitenge tho hume ultiyan hoti hai, ek tho aage jagah nai hai, aur wo bas me bhi seema mam." Pata nai kahe inki seema mam se bilkul nai banti, jab ki seema mam tho sabse ache hai, dost ki tarah sikhati hai. 

Jaise bus tho shere chod ke Amrithser ki ore jane laga sab Antakshari kehle lage, aur haseena ji bhi unke saath gunguna rahi thi, "Aap nai khelegi Karishma Singh?"

Humne thoda hasa, "Agar hum gane lagenge na, kawwa bhi Atmahatya karlega" haseena ji hasne lagi, aur hum unme phir se kho gaye. 

***

Bus ek dabha par ruki chai paani ke liye, aur hum bas me hi rehe gaye, hume jana nai tha bahar,hamre sahepati(classmates) hume bula rahe the, par hume acha nai lagraha tha. Jab hum bus me baithe the humne dekha Thirtha upar se Bag nikal raha tha, ek tho bohot kam ladke hai hamre kaksha(class) me, unme se ye ek, jinko hum thoda jante hai. Ab jaise wo bag nikalne ki khoshish kar raha tha, tho wo bag bohot hi heavy the, tho hum gaye uske madat karne. Phir usne apne bag se kuch nikala, "Ummm Karishma ji Please bag wapis rak sakti hai? " 

"Ji kahe nai" Jaise hum mude humne dekha Haseena ji khadi thi haath me Chai ka glass liye huye, 

"Chai?" unhone pucha, Par wo tho chai nai piti," Par aap tho chai nai piti Haseena ji?!"

"Ji bilkul, ye apke liye hai," Unhone hamare liye chai layi. 

Unhone hamare liye chai layi

Humne dono bait ke chai piya jab ki wo hamse batiya rahi thi, hum glass rakne bus se niche utre, Aur glass ko aise hi pani se dho ke uha table par rakha, aur waha ek choto sa kuta aagay, "Alelelleee" humne usko uthaya apne ghod me. "ummm kitne gande ho, tum nahate nai ho kya roz? Dekho tho kitna ganda ho gaye hai aap. Aapne kuch khaya bhi hai ya nai, kitne patle bhi ho"

*Bhow Bhow*

"ek minute bhaiyya." Humne apne pant ke jeb se paise nikale aur uske liye biskoot liye, aur khilaye usko. " Ab teek hai bhaiyya ji? Me apko le jati par nai hoga. Ap yehi dukan ke pas rehena, kuch miljayega." 

***

"Karishma Singh, Aap hamesha aisi hi hai,"' Jaise hum wapis aye unhne pucha, aur hume samaj nai aya,

"matlab?

"Aise" Unhne bahar dekha, aur humne unki nazron ki ore dekha waha wo kutte ka bacha kichad me khel raha tha, phir se ganda hogaya. Usko dek ke phir bhi muskan agayi apne chere pe,

"...Aise, hamesha chup chap, Shant, dusron ko madat karte huye, itni soft! Hmm?"

Ab hum iska jawab ka de, "Aisa nai hai Haseena ji, Bas"

" Aap bohot achi hai Karishma Singh!"

Humne unki ore dekha, aur bas dekhte hi rehe gaye. 

***

Lunch ke baad thoda on road seher huya tha, aur hum thoda thak gaye the, jaise hi bus Amristar ki aur jane laga, Sir ne bola, ab bus seedha Amritsar ke hotel pe rukhegi, chai ke liye nai rukegi, aur hume bohot bura laga ki hume shaam ki chai peene nasib nai hogi, aur yehi sochte sochte, humne apna aanke band kardi. 

Jaise bus ruk gaya, hume dheere se aank khola tho dekha humne Haseena ji ke khande par soye huye the, aur wo aise hi baithi thi, wo soyi nai? Humari waje se aur ka! Humne unhe aank utha ke dekha, unke do baal ke latt chehere k upar arahi thi, humne uthke, unke latt ko piche kar rahe the ki wo bhi hume dekhne lagi. Humne phat se apna hath piche liye par aanke wahi ki wahi rehe gayi. unke aanko mein. 

"K..Karishma Singh! Chale?"

Hume tho muh se awaz hi nai nikal  paye. Humne sirf apna sar ha me hilaya. Aur jaise wo uthi, unki khade ko jhatka. Aur unka khanda Akadh gaya, wo apna bag bhi nai le parahi thi, " Hume maaf kar dijiye Haseena ji, apko hume utha dena chahiye tha, Kahe nai uthaya aapne?" Hum unse batiyate, unka aur apna bag jo upar rakha tha wo liye, 

"Kyuki aap bohot cute lag rahi thi sote huye," 

Ka, "Ji?"

"Chale?"

"Ji aap chaliye hum apka samn le ate hai!"

"Aur Aapka Karishma Singh?"

" Wo bhi hum hi le ayenge Haseena ji, aap chaliye, pata hai hume, bohotai dard horaha hoga apko, na jane kabse soye the. apke...." phir unki anke, bas har bar kho jate hai.

***

Thank you for reading. 

Please do vote on all the chapters. 

Waiting to read your opinions.

Love

- Author ❤


Infinitely YoursWhere stories live. Discover now