DEEDAR E YAAR
PART 46
BY SANIYA ALI
IG: EDITSBYSANIYA77
IGNORE MISTAKESVo subah ki kareeb 7 baje ghar pohcha tha..abihan..room ki balcony ke sofe pr apna sar pakde betha tha.....Vo apne room me jaane ke bajae abihan ke paas aaya tha...
Bhai...kk...kiya..hu...hua...Thh.thik..hai vo???Uska jism uske honth uske haath...Abihan poora ka poora kaanp raha tha...
Behtar hai...prr aaj ka din aur uske liye critical hai...dua kro ishe kuch naa ho....
Vo jawaban armaan ke zorr se gale lag ke roya tha...phoot phoot kr roya tha...saifina ke liye nahi..apni mohobbat ke liye..kyu ushe pata tha...ab ghar wale uahe emotionally blackmail krenge...saifina se shadi ke liye....aur iss baar vo inkaar nahi kr sakta tha..vo sirf iss liye ro raha tha..kyu ke vo apni mohobbat se peeche hatt raha tha....
Yarrr tum kyu itna ro rahe ho..vo thik ho jaaegi bss dua kro....
Uske liye nahi ro raha me...Bss....
Bsss.....iss liye ro raha hu ke me haar gaya..haar gaya apni mohobbat...Tum nahi haare ho...Tum to mere sher ho..kese haar sakte ho...Ebrah se shadi tumhari mein krwaunga...phir chahe duniya ki koi bhi takat mujhe rok le...Lekin ek baat...agar...Ebrah se shadi ke baad phir bhi Saifina tumse shadi ki koi bhi ummed rakhe..to tum usse nikah kr lena...
Bhai..ye kesi baate kr rahe hai....
Tum bass meri baat maano..baaki saifina ke dil me tumhare liye nafrat bharne ki zimmedari meri...Ab rona band kro..aur..fresh ho jaao..aurrr khuda ke liye hospital yaa phir phupho ke ghr ke aas paas bhi naa aana...phupha boht gusse me hai...
Jii bhai....
Vo abihan se baat krke ab apne kamre me aaya tha....jaha vo bed ke sirhane sar rakh ke bethne ke andaz me so rahi thi.....vo ahistagi se kamre me dakhil hua...aur wahi bed ke kareeb jaakr vo ushe ghoorne laga....
Ushe Dekhte dekhte kab uski ankhein..bheeg chuki thi..iska ushe zra mehasus naa hua...
Aaj pata chala....ke aurat ki mohobbat itni gehri hoti hai..ke vo marr bhi sakti hai..apni jaan bhi de sakti hai ek mard ke liye...apna sab kuch luta ke apne maa baap apni zindagi sab ko peeche chor ke saifna ne mout chuni..Saifina to vo baad me hai..uske pehle vo ek ladki hai..aik aurat hai...jo ke meri biwi bhi hai...kiya meri mohobbat bhi itni gehri hai ke inshira mere liye jaan de de???Khair..allah naa kare... Mere liye ye sochna bhi gunah hai....
kyu kamzor hoti hai ye Aurtein...Jab koi nahi qadar karta to move on kyu nahi karti...kyu uss ek shakhs ke peeche khudkhushi tak ka safar tay kr leti hai...kyu hum mard kabhi kisi aurat ke liye khudkhushi nahi karte...kyuu humare andar ki mohobbat nahi jaagti uss aurat ko dekh ke...kyu..hum khud marne se behtar kisi maarna samajhte hai....
Khud ka example hi le le armaan khan...Tune bhi jaan li hai kisi ki mohobbat ki...Tu jaan de bhi sakta tha....pr tune nahi di....Kyuu mard ki mardangi sirf aurat pe hi chalti hai....
Agar me suicide ke kr bhi leta...to bhi
inshira ko koi faraq nahi padhta mere jaan dene se...kyu ke ushe pata hi nahi tha ke me usse kitni mohobbat karta hu..ishe kitna chahata hu.. me galat hu...Mujhe esa nahi Krna chahiye tha....Kisi se uski mohobbat chin lena Gunah hai....aur mene ye gunah badi asaani se farmaya hai...prr me bhi to isse sacchi mohobbat krta hu...mera kiya???Meri mohobbat din ba din badhti jaa rahi hai...Aur jab tumhe sachh pata chalega naa inshira pata nahi me kiya krunga uss din khud ke saath....kyu ke mujhme tumse samna karne ki himmat aur housla bilkul nahi hai.... Mohobbat badi buri chiz hai..vo aurat ko marne pe majboor kr deti hai...aur mard ko maarne pe...Prr ek baat hai...Duao me badi taqat hai...Jab ye mujhse mohobbat nahi krti thi...tab mene ishe namazo me rota dekha tha.. Koi to dua ki hogi naa isne...jo aaj iski ankho se ek aansu nahi behta.... Kuch to kiya hoga allah ne..jo Zain ko bhula ke isne meri Mohabbat ko tarji di....Mere khuda...bss tujhse yahi dua hai...meri inshira ko kabhi kuch pata na lagne dena..aur agar allah na kare pata lag bhi jaae..to..meri mohobbat ka padla itna bhari kr dena..ke vo mujhe maaf krde.....Kiya ho agar me khud ushe ye sab bata du to???Ho sakta hai vo mere ehteraf krne pe mujhse zyada khafa naa ho????Vo soch raha tha....Ankho se aansu behte chale jaa rahe the....
Uske paas se aane wali khushbu ke ehsaas se inshira ki ankh khuli thi...
YOU ARE READING
Deedar e yaar
RomanceKehte hai aag aur paani ek dusre ke wajood ko mita dete hai. Wahi Arman ek Mashoor business man ka beta hai. Aur inshira middle class family se talook rakhne wali ek mamuli ladki..Vo kisi aur se mohobbat karti hai Zain Qureshi se. Par armaan ek baar...