(2)Badal Jaata hai

59 24 3
                                    


Dil me ehsaas liye aksar insaan wahi teher jaata hai,
Waqt be waqt kuch panne palat jaate hai,
Insaan badal Jaata Hai...
Haa jab waqt badal jaata hai toh sawaal nahi utt te..
Par jaawaab dena padhta hai,
Jab insaan badal jaata hai..
Aaj zindagi ke kuch kissey purane soch rahi thi,
Kayse meri aakhon me aasuon ko aaney ki ijazat na thi, aaj unhi aasuon ko mita rahi thi..
Jin aakhon me gehre sapne haste the kabhi,
Aaj kuch adhuri kahaniya unhi aakhon me basti hai kahi..
Chott jo lagi toh dil me pehla khayal uska aaya,
Uske baare me soch,
Humne aakhon se girte un aasuon ko mitaya..
Jo aksar dard ko dhaank leta tha..
Pyaar se humey wo aksar sambhal leta tha..
Marham na hota unke paas toh duaein de deta..
Haath pakad kar har dard se ladhna sikha deta..
Dant ta wo mujhe aksar mujhe maar deta tha,
Sau shikayaton ke baad fir mujhe galey se laga deta tha..
Fir kuch aandhiya chali,
Hazaaron harkaton me usey meri fir aik galti mili,
Kehte hai na,
Galey se laganey ke liye sau harkatey bhi kam hai aur galti hote hi insaan door chaley jaata hai,
Aasmaan ke rangon ki tarah insaan badal jaata hai..
Haa jab mausam badalta hai toh sawaal nahi utt te,
Par jawaab dena padhta hai,
Jab insaan badal jaata hai..
©halfwriter_kashuu

Into the Depths Of My HeartWhere stories live. Discover now