(3)Maut

34 21 2
                                    

Kal raat us andhere me bebas si halat me kahi gum apne dard se bhare dil or tootey us bharosey ke tukde le kar mai khadi thi..
Achanak aik awaaz aai..
Pucha, aaj is akelepan me awaaz nahi dogi mujhe?
Maine kaha kaun ho tum?
Boli mai wo hu jissey log darte hai..
Mujhe paaney ke liye wo zindagi se ladhte hai..
Sehte hai wo jab dard mujhe askar pukara karte hai..
Khushiyon me na janey fir kyu wo palat te hai..
Wakhif hai wo is sachhai se ke mere bina unka koi anth nahi..
Na janey fir wo log kyu mujhi se nafrat karte hai..
Dar lagti hai mujhe jab wo awaaz dete hai..
Kya kahu unse jo unse behadh pyar karte hai..
Mai wo hu jisey koi pyar nahi karta
Mai wo hu jissey har koi hai darta
Na janey log kyu mujhse khafa rehte..
Mai khaunaak nahi,mujhe maut hai kehte..
Daastaan uski sunnke maine maut se pucha,
Thak gaye hoge na,aaj kyu na mere ghar hi rehte?
Muskura kar kaha usne,
Aaege tumhe bhi saat le jaege kisi pal..
Yeh zindagi toh bas aik din ki kahani hai
Maut toh honi hi hai kal.
©halfwriter_kashuu

Into the Depths Of My HeartWhere stories live. Discover now