(4)Ab wo mera nahi

54 21 0
                                    

Aksar hum is bheed bhari duniya me kuch waadey kar,dil me ummeed liye kuch sapne dekhte hai..
Maine bhi chaha tha kuch aisa..
Hazaron kaaton me bhara khubsurat phool ho jaisa..
Us phool ko kitabon ke bich rakhna bhool gaye,
Khuley raastey par kuch chaltey log usey todh kar apne saath le gaye..
Uski khushboo toh aaj bhi wahi hai..
Par ab wo mera nahi hai.. Jiska haath thamey kuch door chalne ka faisla kiya tha..
Kismat me khuda ne fir faaslaa kiya tha..
Jiske haaton ki lakirey padhte the hum aksar,
Wo masboot haat toh wahi hai..
Par ab wo mera nahi hai.. Choti choti baaton se jab dil ghabra jata tha..
Jiske bahon me rehna humey aksar ghar ki yaad dilata tha..
Sukoon ko ab bhi wahi hai..
Haa bas ab wo mera nahi hai...
©halfwriter_kashuu

Into the Depths Of My HeartWhere stories live. Discover now