(8)Bachpan

27 29 4
                                    

Raaste par us tapti sadak se mai kuch yuu guzar rahi thi..
Jaise mano suraj ki wo garm kiran mujhpe hi baras rahi thi..
Us sadak par achanak mujhe aik khayaal aaya,
Jab bachpan ka wo jhula meri in masroof aakhon ko nazar aaya..
Teher ke kuch waqt maine socha yuu..
Bachpan me jab yeh dhoop na chubhi
Toh fir aaj yeh paseena kyu?
Us jhuley par aik masoom si bachhi baithe muskura rahi thi..
Jaise maano uske chehre me mera bachpan aur mai hi nazar aa rahi thi..
Thak kar jab mai ghar laut aa rahi thi..
Takhaan dekh meri, agli subah se ghabra rahi thi..
Bachpan ko apne mai jaise man hi man gunguna rahi thi..
Dil ro raha tha guzey waqt ki daastaan liye magar,
Bachpan ki wo bachhi mujhme hi muskura rahi thi..
©halfwriter_kashuu

Into the Depths Of My HeartWhere stories live. Discover now