(5)Manzil

56 24 4
                                    

Raahon ko meri ab manzil ki zaroorat nahi hai..
Sachai zindagi ki ab jo nazar aane lagi hai..
Dhundne nikli thi mai kuch khushiyon ke pal..
Zindagi meri mujhse hi khafa hue door jaane lagi hai..
Thama tha haat ke chalege kuch door saath..
Raahey jo roothi,Manzil phir chhuti..
Zindagi meri hadhon se paar jaane lagi hai..
Ummeed bhi ab muu modey khadi hai..
Khamosh sa dil yeh,
manzil ka deewana tha..
Safar toh aik bahana tha,
Humey toh bus Waqt uske saath bitana tha..
Bohot door nikal aaye hum raahon me kahi..
Dekha jo door tak toh manzil dikhi hi nahi..
Thama jo haat uska toh yeh jaana..
Zaruri tha saath uska,
Keemti tha wo haa humne mana..
Sakht Raaston me mila tha humey wo dewaana..
Nikle jo hum dono gharse kahi..
Wahi raah par jaa rukey jaha manzil nahi..
Raahon ko meri ab manzil ki zarurat nahi..
Wo saath hai bus,ab aur kuch bhi nahi..
Pucha humne jo khudse,
Kehne laga humara dil..
Saath uska paana hai mushkil..
Shayad isiliye gum si hogai hai manzil..
©halfwriter_kashuu

Into the Depths Of My HeartWhere stories live. Discover now