(10)Parchai

35 21 2
                                    


Aasmaan ke hawaaon ke zarye
Na jaane yeh raat kya lekar hai aai..
Aaena hai yeh mera yaa fir hai meri parchai?
Mai jo hasu toh saat mere yeh bhi hasti hai,
Rou toh aakhey iski bhi nam si hoti hai..
Zindagi humey aaj is modh pe hai laai
Saath humare koi nahi,
Akeli Reh gai hai humari Parchai..
Adhere me jab gum si hojati hai yeh,
Khaunaak se manzar me aksar chup si hojati hai yeh,
Awaaz toh nahi hai isme par,
Meri hi khwahishon ke ke bojh se toot si jati hai yeh..
Dard bhi ho toh muskurati hai yeh
Parchai meri masboot hai par adheron ke saamne haar jaati hai yeh..
Pucha maine usey kya tu darti hai un adhero se?
Jhooti hai bilkul, zakm kitna bhi gehra ho dunia se chupati hai yeh..
Aaj is khuley aasmaan me sitaare jo dekhe maine..
Pucha unse roshni kaha se laae ho?
Pehchaaney se lag rahe ho yeh bata do,
Apne ho ya parae ho?
Aasmaan me un sitaron ke zarye achanak aik tasweer si nazar aai..
Gaur se jo dekha adheron me waha chupi thi mere parchai..
©halfwriter_kashuu

Into the Depths Of My HeartWhere stories live. Discover now