(4)Ab Mai Pyaar nahi karti

47 21 1
                                    

Ab mai pyar nahi karti..
Wo baat aur hai ke aaj bhi teri yaad aati hai
Humari mulakaat aur wo kuch pyari baat aaj bhi satati hai..
Is baat se mai inkaar nahi karti..
Haa magar ab mai pyar nahi karti..
Wo baat aur hai ke aaj bhi in haaton me tere haat ka na hona mujhe adhura sa lagta hai..
Tujhe paa kar khona aaj bhi mujhe chubta hai..
Is baat se mai inkaar nahi karti..
Haa magar ab mai pyar nahi karti..
Wo baat aur hai ke raaton me aksar jab bistar par let jaati hu toh teri yaadien mujhe sone nahi deti..
Phir Wo teri kuch kahi baatien aaj bhi soney par majboor hai kar deti..
Is baat se mai inkaar nahi karti..
Haa magar ab mai pyar nahi karti..
Wo baat aur hai ke asmaan me jab sitara dekhti hu aksar..
Teri na maujood gi se aaj bhi hu darti..
Us sitare me teri roshni aaj bhi mai talaash karti..
Is baat se mai inkaar nahi karti..
Haa magar ab mai pyar nahi karti..
Wo baat aur hai ke aaj jab teri wo hasi dekhti hu jo kabhi mujhe dekh kar aaya karti thi..
Har waqt jab sirf mai tujhe sataya karti thi..
Aaj teri wo hasi toh bilkul wahi hai par shayad hasaney wali mai nahi..
Haa tujhe hasil na kiya maine par aaj bhi tujhe khoney se hu darti..
Is baat se mai inkaar nahi karti..
Jhooti hu mai, keh toh rahi hu "Ab mai tujhse pyaar nahi karti"
"Ab mai tujhse pyaar nahi karti"
©halfwriter_kashuu

Into the Depths Of My HeartWhere stories live. Discover now