(12)Benaam Rishtey

30 18 2
                                    

Sadiyon se na janey kyu yeh reet chali aa rahi hai..
Jaise maano zindagi har modh par humey anjaan logon se mila rahi hai..
Hum un anjaanon se kuch is qadr mutasir hojate hai ke unka hona humare liye sabkuch aur naa hona jaise humari udaasi ka sabab sa ban jata hai..
Zindagi ke reyl me mai bhi musafir baney chal rahi thi..
Is beech Zindagi kabhi kabhi khafa toh kabhi mera haat thamey saat khadi thi..
Kismat aur Badalte Waqt ke mausam me maano jaise aik hawa jaani anjani thi...
Usme Ulji hui khushboo mano kuch pehchaani thi..
Is khoobsurat mausam me mai us anjane se rubaru hui..
Raabta hua,Nasdeekiyan badhi
Maine khudko aazmaya,
Hairaan hue hum bhi jab humey sach nazar aaya,
Jab unse milte,
Toh khill se jaate..
Aur unke chale jaane se,
Hum andar hi andar hill se jaate..
Unki hasi dekh,duaen karta hai dil,
Unko takleef me dekhna fir ho jata hai mushkil..
Bagair jaane ke unse rishta kya hai..
Wo anjana hai ya ab mere rooh ka hissa sa hai?
Door jab unse hote toh duaen karte,
Saamne jo wo aajae toh khushi se mehekte..
Aaj wahi mausam ki mehekti wo hawa humare chehre ko chhuu ke is qadar guzri...
Mehsoos kiya humney ke saath honey ke liye paas hona zaruri nahi..
Arey Suraj ko bhi doobna padhta hai Chand ko zinda karne kahi..
Chupey Chupey se hote hai kuch Rishtey Ehsaas ke,
Unka koi naam nahi..
Wakhif hote hai unke bich ki nazdikiyon se farishtey bhi..
Dunia me kuch is tarah shamil hai benaam rishtey bhi..
©halfwriter_kashuu

Into the Depths Of My HeartWhere stories live. Discover now