35. DUSHYANT MEETS SUPRIYA

266 30 2
                                    

2 days passed from the news of Mr. Anand Raichand's death. The news channels were on high TRP'S because of the trending news that is going on. Supriya came to meet her daughter.

Supriya : Mary, Purvi kaha hai..?

Mary : Madam vo Purvi mam tho 3 din pehle kahi gayi thi aur ab tak laut ke aayi nahi.. Dushyant bhi unke saath hi hai lekin ab tak vo bhi nahi aaye..

Just then, Dushyant comes there. He looks at Supriya in confusion. He looks at Sister Mary & asks her in sign language through the eyes about who she is.

Mary : Yeh Purvi madam ki maa hai..

Dushyant : Namaste aunty...

Supriya : Namaste tho thik hai lekin Purvi kaha hai..?

Dushyant (shock) : Purvi mam ghar pe nahi hai..?

Supriya : Nahi.. Mary ne kaha ki vo tumhare saath gayi thi 3 din pehle..

Dushyant : Ha aunty vo 3 din pehle mam ne kaha ki unko thodi der akele rehna hai tho maine unhe vanity van mei chod diya.. Maine driver se kaha tha ki vo mam ko seeda ghar pe hi chod de..

Supriya (angry) : Agar aisi baat hai tho Purvi ab tak ghar kyun nahi aayi..?

Dushyant : Mai abhi driver ko call karta hu..

Dushyant calls driver Raju & asks him where Purvi is. The drives narrates the whole thing that happened 3 days before & cuts the call.

Dushyant : Mai dekhta hu ki Purvi mam kaha pe jaa sakti hai..

Supriya : Ruko mai bhi tumhare saath aati hu..

Dushyant : Ok aunty..

The whole day they searched for Purvi here & there but didn't find her anywhere. Being disappointed, they both return to bungalow no. 4. Only Supriya & Dushyant were alone in that house.

Dushyant saw a family picture. Supriya, Raj were standing with bright smiles on their faces while young Purvi along with a young boy was standing. Dushyant then realised that a bright smile really suits her face.

Dushyant (pov) : Ek min, isme jo mam ka smile hai aur filmon mei ya parties mei jo smile hai vo alag hai.. Iska matlab Purvi mam ne ab tak sirf fake smiles kiye.. Magar kab se aur kyun...??? Vo asal zindagi mei hasti kyun nahi hai dil khol kar..?

Supriya : Vo chahkar bhi nahi has sakti hai..

Dushyant : Kya matlab hai aapka..? Aur kyun nahi has sakti hai mam...?

Supriya : Nishant ki wajah se..

Dushyant : Nishant..? Yeh Nishant kaun hai..?

Supriya : Nishant Purvi ka chota bhai tha..

Dushyant : Tha..? Matlab ab vo...

Supriya : Nahi hai vo ab is duniya mei.. Uski maut kai saal pehle ho chuka hai ek fire accident mei..

Supriya narrates Dushyant about the fire accident because she wants Dushyant to take care of Purvi.

Us din mai market gayi hui thi sabziyan lene.. Raj, yaani ki mere husband office ke kaam ki wajah se office gaye hue the.. Ghar mei Purvi aur Nishant akele the..

Mujhe pukka tho nahi pata lekin shayad se Nishant ya Purvi ko bhuk lagi hogi bahut tej.. Itna tej ki vo mere aane tak ka intezaar nahi kar paaye..

Jab mai ghar lauti tho maine dekha ki ghar mei aag lag gayi thi aur Purvi aur Nishant dono ghar ke andar the.. Mai bahut ghabra gayi aur shor machane lagi.. Shor sunkar aas paas logon ne meri madad ki aur ghar ka aag bujhaya..

Jab mai ghar ke andar gayi tho maine dekha ki Nishant mar chuka tha aur aag ki wajah se uska pura body bahut buri tarah se...

Supriya has tears in her eyes remembering that terrible moment which snatched her son's life. She wiped her tears & looked at Dushyant who was sad after hearing the truth.

Supriya : Purvi ne us waqt Nishant ka haath pakad liya tha.. Bhagwaan ki krupa tha ya koi miracle tha mujhe nahi pata lekin Purvi us aag mei nahi jali.. Uske upar ek table stand gira jiski wajah se vo bach gayi..

Dushyant : Oh..

Supriya : Lekin us aag mei vo behosh ho gayi thi aur jab use hosh aaya tab usne yeh dekha ki uske haath mei Nishant ka haath tha aur baaki ka pura body jal chuka tha Nishant ka..

Dushyant (mind) : Bahut bura hua Purvi mam ke saath...

Supriya : Use itna shock laga us haadse se ki vo mujhe aur Raj ko bhul chuki hai.. Use is baat pe yakeen nahi hai ki mai aur Raj uske hi mom dad hai.. Hum logon ne bahut koshish ki magar aaj tak Purvi ko yakeen hi nahi hua ki mai aur Raj hi uske parents hai..

Dushyant : Kya isliye unhone aap dono ko media se dur rakha..?

Supriya : Ha..

Everything was heard by Kavin. He came to meet Raj as he wanted to know something related to his father & Raj is the only person whom Kavin knows about.

Kavin (mind) : Isliye Purvi itni chup thi..? Aur itne saal tak sirf fake smiles leke ghumti hai..? Aur unke saath jo 2 din pehle hua vo...

Kavin left from there because he felt very bad for Purvi. Until now Kavin thought that he is the only one going through the bad times having wounds & struggles. But there she was, having a wound which can't be healed in her whole life time.


Secret AffairDove le storie prendono vita. Scoprilo ora