X. You Can't Forget Me 9

965 112 6
                                    

Mission Save Lucknow

Continued...

Karishma entered the Hospital feeling extremely uneasy. But, she noticed many police officers roaming here and there. She immediately rushed towards Anubhav's ward.

She opened the ward door and found Anubhav sitting on a chair and infront of him their were Commisioner sir and Anubhav's Senior from IB. She gave them a confused look.

Karishma- Bhaiya Maddamsir kaha hai?

Anubhav- Voh log Hassena ko le gaye...

Karishma ( worried )- Voh log? Matlab kon log?

Commissioner- Jis mission ke liye Anubhav ko bheja gaya tha voh asafal raha tha. Aur aab uss gang ka boss Hassena Mallik ko le gaya hai. Aab jab tak uski demand puri nahi hoti voh log Hassena Mallik ko jaane nahi denge.

Anubhav's SO- ( angrily ) Sirf Hassena Mallik ko hi nahi, voh log Chip bhi le gaye hai. ( Taunting ) Kitni baar kaha hai tumse ki Pyaar kamzori hai lekin baat maanta kon hai? Hassena Mallik ki jaan bachane ke liye tumne usse voh itni important chip de di.

Karishma ( angrily )- Dekhiye aap.....

Anubhav ( sternly )- Dekhiye sir, prem kamzori nahi hota hai. Aur yeh vakt hume dosh dene ka nahi hai. Aur vaise bhi voh chip nakli thi. Asli chip toh ( Looking at Karishma ) Karishma Singh ke paas thi aur aab ( showing the chip ) mere paas hai?

Karishma ( shocked )- Aapko kaise pata chala?

Anubhav- Jab hamari yaddasht chali gayi thi tab hume aapko hamare ghar dekha tha. Aur jab aap haspatal ayi thi tab aapki jeb mein se ek thaili gir gayi thi usme yeh chip thi. Aur jab humne usse khol ka dekha tab hume voh asli chip mili.

Commissioner- Par Anubhav tum itne yakin se kaise keh sakte ho ki Karishma Singh ke paas jo chip thi voh asli hai?

Anubhav- Voh aaise sir ki humne aaj subah hi yeh chip lagakar Dekhi thi. Aur vahi chip chupa kar rakh di. Kyuki hume gyat tha ki voh log Chip lene ki koshish karenge isiliye voh nakli chip unhe de di.

Karishma ( worried )- Par Anu Bhaiya Maddamsir ka ka? Voh log toh Maddamsir ko le gaye?

Anubhav- Aap chinta maat kijiye Karishma Singh. ( To Commissioner ) Sir isse pehle ki unn logo ko pata chal jaye ki voh chip nakli hai hume Hassena ji tak pohoch na hoga. Varna voh log kuch bhi kar sakte hai.

Karishma- Par hume unhe dhunde kaise?

Anubhav- Chinta maat Kijiye. Baas Santosh ko yaha bula dijiye.

Karishma- Santu ko kahe?

Anubhav- Yeh saari baat karne ka vakt nahi hai hamare paas Karishma Singh. Hassena ji ki jaan khatre mein hai. Jaldi se Santosh Sharma ko durbhash kijiye.

Karishma- Ji!

-----------

Santosh- Anubhav sir aapne jis tracker ki location hume pata lagane ke liye kaha tha uski location trace ho gayi hai.

Anubhav- Jaldi se bataeye ki kaha ki location hai?

Santosh- Voh location Lucknow ke Jyotish Nagar ( imaginary ) ka hai.

Anubhav- Aap yahi rakhiye. Hum ate hai. Aap hamare saath durbhash ke jariye touch mein rahiye.

Santosh- Okay sir.

Pushpa ji- Par yeh sab ka chal raha hai? Maddamsir ko ka hua hai? Kuch bataeye na...

Anubhav- Hamare saath chaliye Karishma Singh, ASI Mira aur Cheeta Chaturvedi. Pushpa ji, hum aapko baad mein vistar se samjha denge.

AnuSeena Shots/Series/ER -by Janescripterजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें