Yaadein uss roz waali.

7 0 0
                                    

Yaad hai mujhe,
Jab tez dhakate dil ke saath apne dost se tera number,
Aur kaapte haatho se tujhe hi bheja tha,
Kaam kuch aur, aur irada kuch aur tha.
Badkismati se uss din aaya nayi koi reply tera,
Lekin  yaad hai mujhe aaj bhi, voh din, uss roZ waala.

Yaad hai mujhe,
Jab tune  pehle baar mere saath bahar aane ke liye,
Haan kari thi,
Aur jaate waqt, mud ke, mujhe dekh, tu hasi thi.
Lekin aajkal dikhti nahi hassi uss kism ki,
Isliye toh yaad rakhi hai maine, voh raat, uss roz waali.

Lagbhag kuch 1 saal apna chakkar chala,
Tu mujhme khush, mai tujhme khush,
Lekin kuch toh adhura hai,
Aisa ehsaas mujhe hua,
Fir uss ehsaas ko pura karne ko,
Call maine tujhe kiya,
Aaj bhi yaad hai, voh baatein, jo ki thi humne बीच
uss roz ke call dwara

Khuda ki kripa se,
Kuch aur mahine apna chakkar chala.
Fir dheere dheere apne bheech ki duriya badhne lagi.
Na hi jhagde ruk rahe the,
Na hi ek dusre ko hum waqt de rahe the.
Aur fir achanak tune chod ke jane ka nirnay liya,
Bhul gayi tu usse, jisne kaynaat ka ek ek jarra,
Tere liye yaad rakha.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 18, 2018 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

दास्ताँ हमारीWhere stories live. Discover now