In Academy - Room 23

808 103 66
                                    

I know aaplog ko story se expectations hai, I'll try my best for that... Am trying a different and new storyline... And merko bhi aaplog se thodi umeed hai, toh pyaar barsaane mei kanjusi na karna aur vote aur comment zarur karna✨

Chalo ab shuru karte hai

Enjoyyyyy Readingggg ❤️

#Episode 1

It is 9pm and KS and her mother are standing at the door of AAKU Delhi based academy (bhai random naam hai, merko gharpe Bhai behen Aaku bulate hai na isliye🤣🤣 apne aap ko thoda bhav de rhi hu). Amma came to drop her there

KS: Amma, aapko pata hai na... Ki hum academy itni jaldi sirf aapke aur bauji ke us letter ki vajah se jaa rhe hai

RS: haa beta

KS: par ye sab kaise hoga.... Yaha sab humse badhe hai... Uparse hum late hai

RS: sab ho jayega, tu fikar na kar... Mai hu na... Chal ab Jaa tu

RS kissed her forehead and bid her adieu with teary eyes and left from there not before being sure of KS going inside safely

In the academy:

RK: Hii, I am Riya Khanna (RK) kya tum KS ho? New candidate?

KS: jii

RK: okay... Good... Merko principal ma'am aur coach ne bola hai ki tumhe help kar dene ko... Chalo pehle dinner karlo fir tumko tumhare room mei chodh denge

KS: umm...  Nhi nhi, hum khaake aaye hai... Aapka shukriya, aap hume sirf humara room dikha dijiye didi

RK: okay, as you wish par didi mat bolo... Call me Riya

KS: par aap badhi hai

RK: so what, we are in the same course, dono candidates hai...

KS smiled and they both did a handshake

RK: vaise tumhara room number kya hai?

KS: umm... (She checked her phone) 23 hai....

RK: kyaa

KS: kya hua

RK: I think koi confusion hai... Room 23 kaise ho sakta hai

KS: kyu nahi

RK: vo toh coach ka room hai...

KS: par coach toh female hai na

RK: haa par unke saath kabhi kisi ne room share nhi Kiya... Isbaar aise kaise... Chalo ekbaar office mei confirm krte hai

KS: jii chaliye

In the office:
KS was just observing everything silently as she hardly had any clue of the matter while RK spoke on her behalf

RK: aise kaise ma'am? Inko room 23 kyu diya hai

Lady (L): iska late admission hua na, isliye fir coach mam ke saath share krna padega ise room aur toh ye sabse choti bhi hai... Toh isliye

RK: areh par choti hai toh kya maut ke muh mei daal doge

L: Riya... Mind your language...

RK: sorry mam par I think coach mam bhi nahi maanegi aise... And you know how strict she is... Alag hi level hai unka

L: coach mam se baat ho gyi hai, vo already maan bhi gyi... Aur tum ab use darao mat... Iska room 23 hi hai aur ise vaha chodh do

RK: areh

L: infact ek second... Time dekha hai tumne

RK: nahi, kyu? Kitne baje hai?

L: 9:30pm

RK: haww itni late ho gyi

KS finally spoke up

KS: ama ye late kaha hai

L: late hi hai .... Tum bhaago room mei Riya, Varna agar coach ne dekha toh ache khaase dande padhenge tumhe... Hum KS ko room dikha denge

RK: ha ha, sahi kaha...hum bhaag rhe hai... Varna bohot maar padhegi... Unke according toh ab tak hume so jana chaiye yaa atleast room mei toh hona hi chahiye... Thank you mam aapne toh meri haddiya tutne se bacha li... Byee KS, kal milte hai... Aur us Hitler se bachke rehna

RK left while L smiled at KS nervously and dropped her in her room

L: vo aaj coach bahar gyi hai kaamse.... Raat ko late aayegi

KS: toh apne jhoot kyu kaha unhe

L: kyuki vo sirf unke naam se hi baat maanti hai... Aur agar kal bhi coach ko pata chalta toh use maar padh jaati... Chalo chodho ye sab... Abhi tum so jaoo... Rest kro...

KS: hmm... Ek baat puchu?

L; Haan

KS: ye coach bohot buri hai kya...

L: nahi nahi, bilkul nahi, bas bohot strict hai, apne sidhaanto ki badi pakki hai, perfectionist hai... Isliye aksar sabko daat ti maarti rehti hai line pe laane ke liye... Varna unse acha insan is duniya mei nhi hai... Dil ki pure aur bohot achi hai vo... Usually sab ka inspiration koi Shahid soldier yaa police officer hota hai, par jo ekbaar inse mil leta hai, inki aadatein aur harkatein itni unique hai na, ki fir sab ki inspiration ye ban jaati hai....

KS: sachme?

L: jii.. tum yaha kisi bhi student se pucho, ya koi ex student jisne inse training Li hogi, unke liye inspiration kon hai... Vo coach Haseena Mallik ka hi kaam lenge

KS: wow, dhanyawad hume itna kuch batane ke liye

L: tum daro mat... Tumhe unse acha roomate nahi milta

KS smiled

L: jao ab rest kro... Aur subah 5am pe aa jana

KS: jii...

KS went inside the room

KS (to herself): kitna organize karke rakha hai room ko, wow... Yaar par main ye kaha fas gyi... Vaise hi aane ka mann nhi tha... Uparse ye coach ke saath rehna padhega... Inke baare mei sabke vichar toh vaise hi itne ache hai sunne mei ki kya bolu (sarcastically) Hitler Jo naam rakha hua hai unka yaha ke logo ne

Then KS changed into a comfortable attire, set the alarm for tomorrow in her phone and put it on charging and slept.




Aajke liye bas itna hi...

Kaisa Raha first episode?

Aage kya hoga?
Sochte rahiye....

Precap: KarEena met

Target for the next episode:

Vote: 50
Comments: 35

Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.

Sisters at heart ❤️ (Ft. KarEena)Место, где живут истории. Откройте их для себя