Nok Jhok is back

540 115 93
                                    

#Episode 53

HM looked at KS and realised she is fast asleep already. HM gave a tiny smile and made KS lie on the bed and herself layed beside her in half lying position as she patted her head and caressed her hairs

HM: lagta hai itna ro ro ke kaafi thak gyi hai ye..... Ek kaam karenge... Isko thodi der bahar ghuma ke le aayenge... Refresh ho jayegi thoda... Better feel karegi... Iske mann mei bhi bohot kuch hoga jo isne mann mei rakha hoga... Bahar jayegi, kuch share karegi, toh halka feel karegi...

After a while, HM slowly released herself from KS's grip and got up and freshened up. When KS realised HM's absence she woke up and looked here and there... In a moment HM came out of the washroom and went and stood infront of the mirror, arranging her attire and hairs. HM looked at KS through the mirror

HM: khul gayi neend aapki?

KS nodded while rubbing her eyes

HM: achi neend aayi?

KS (smiled whole heartedly): Noor di ke saath toh humesha se bohot achi neend aati thi hume

HM (chuckled): ab toh iski aadat daal lijiye

KS (nodded): aap kahi jaa rhi hai?

HM: hum nahi, hum dono jaa rhe hai...

KS looked at HM confusingly

HM: jaaiye change krke aaiye... Hume nikalna hai dono ko, late ho rahi hai 

KS: par hum jaa kaha rahe hai

HM: surprise hai... Aap chaliye toh

KS: areh par

HM: chhotii don't be a spoil sport

KS: acha acha, hum aate hai ready hoke

HM: 5 minutes hai aapke paas

KS: ama aap training karane leke Jaa rhi hai toh I am sorry, aapko hi mubarak ho😂 hume kahi nahi jana😳

HM: areh, humne kab kaha hi training ke liye Jaa rahe hai

KS: toh aap aise order de rhi hai 5 minutes

HM: uffo, vaise bolne hi aadat hai humari bacha...

KS: ohoo, Hitler vale character mei humesha ghuse rehte ho matlab aap

HM: jii (said with a plastered smile)

KS: bas bas, ab jyada sarcastic mat jo Noor di...  Mai aati hu jaldi se

HM (nodded): jaldii

KS rushed in the washroom. KS got ready and came out of their room, she did not find HM there, so she took her phone and left the room. She found HM sitting on the sofa in the living room simply scrolling her mobile.

KS: ab kya phone hi dekhti rahengi, kabse jaldi kro, jaldi karo laga rakha tha

HM: han toh maharani sahiba ko itna time lagta hai ready hone mei... Toh isme hum kya kare

KS: huh, time aapko jyada lagta hai

HM: kuch bhi🤭

KS: acha chodhiye, aapne Amma aur ammi ko bata diya?

HM: jii, aap dono ko bye bol aaiye, fir nikalte hai...

KS nodded, she went and bid them adieu and went along with HM. They went out and HM sat on a bike and told KS to sit at the back

KS: ye bike... Ye? Ye kiska hai?

HM: kisi ka nahi

KS: toh fir... Aap ispe kahe baith Rahi hai

HM: aap aake baithiye toh sahi, hum aapko raste mei sab bata denge

KS nodded her head in disbelief

KS: aapko bike chalani aati hai?

HM: nhi hum toh trial ke liye Jaa rahe hai

KS: areh

HM: baithiye na chhoti

KS: gira toh nahi dengi na

HM: 😑😑

KS: areh matlab, bharosa nhi hai..

HM: dhakka de denge aapko bike se, khush?

KS: how mean 🤨😳

HM: acha aap hume kas ke pakad ke baithna

KS: usse kya hoga?

HM: aap girengi toh hum bhi gir jayenge na saath

KS (grinned): ye acha idea hai... Aisa na hum vacations ke end mei karenge...

HM: kyu?

KS: fir chhuti mil jayega na training se hum ko, aur aapka bhi chutti ho jayega kuch din ke liye🤣🤣🤣

HM gave KS a tapli

KS: areh, fir se shuru ho gaya aapka

HM: isse pehle ek aur lagaye, baith jaiye

KS glared at HM, and this attempt of hers successfully failed because ofc, HM kaha kisi glare se daregi? HM gave her a sarcastic smile and finally KS sat at the back. The journey started:

KS: ab toh bataiye, ye kaha se laayi aap?

HM: aapko yaad hai chhote mei hum dono ko bikes bohot pasand thi

KS: haan, yaad hai na, humne toh bike ka pura dukaan kharidne ka bhi plans banaya tha

HM (chuckled): Han han, aur use dukaan nhi, showroom bolte hai

KS: aap hume correct karna chodhiye aur aage bataiye

HM: han toh hume laga ki aapko bike ab bhi pasand hogi, toh bike ride pe hi chalte hai...

KS: ekdum chaukas socha jiji... hume abhi bhi bikes ka utna hi craze hai

HM passed a whole hearted smile to KS from the mirror of the bike and KS did the same

KS: par ye bike hai kis ka?

HM: vo humari yaha ek dost rehti hai, usse mangwa liya tha jab aap so rhi thi...

KS: areh wah, ye acha kiye aap

HM nodded

KS: vaise, hum kaha Jaa rhe hai?





Aajke liye bas itna hi...

Kya lagta hai? Kya hua hoga uske baad?
Sochte rahiye...

Precap: abhi merko bhi nahi pata Bhai 🥺😂😩 aaplog ko kaise bata du

Targets: 🎯💯

Votes: 95

Comments: 50

Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.

Sisters at heart ❤️ (Ft. KarEena)Opowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz