Ek mauka

525 93 131
                                    

#Episode67

KS got excited at this but soon hid her smile

HM: toh kya khayengi aap?

KS: dekh lenge...

HM: uhm, vaise, ek bohot acha idea hai humare paas, par ab lagta hai vo possible nahi hoga.... Kisi ka toh mood kaafi kharab hai

KS: kya idea 👀

HM: nahi nahi, aap naraz ho lijiye...

KS: ahaa... Ab itna footage mat Khao, bolo naa

HM: hum soch rahe the aapko aapka Lucknow vala Ghar dikhaye, infact yehi nahi, hum soch rhe the ki yaha se Lucknow hum bike pe jayenge, aapko aisi long drives kaafi pasand hai na....

KS: wowww sachii

HM: muchiii

KS: fir kab jayenge, abhi chalo na

HM: abhi nhi... Ghar pe baat karenge na...

KS: oh haa...

HM: chalo abhi chaat khaate hai

KS: yess!

Then the sisters had loads of junk, chat and ended their street food date by 8:30pm. They informed they wont eat dinner, afterall they had already over eaten at the chaat gali.

At home:
The four of them were seated in the living room:

HM: hume kuch baat karni thi aaplog se, actually, humne kuch socha hai

ReMa: kya?

HM: vo, pehli baat toh hum chhoti ko Lucknow vala Ghar dikhana chahte the, toh hum soch rhe the jab Delhi vapas jayenge, toh usi din subah drive krke Lucknow chale jayenge fir vahi se flight leke ek hi baar Delhi jayenge....

RS: haan toh thik hai

SM:tum jaogi na, toh humare kuch kapde pack karke courier karva Dena yaha pe, hum dono sang rahenge kuch aur time

HM: ji zarur, ek aur baat hai

KS: kya?

HM: dekhiye vacations toh hum dono ki ek month ki thi, usme se ek week toh khatam ho gaya, pehle socha tha ki ek week yaha, ek week Lucknow karke rahenge, par ab jab sab settle ho Gaya hai, hum sab bhi sath hi hai, toh 2 hafte aur yehi reh jata hai, thik hai na Amma?

RS: bilkul, ye bhi koi bolne ki baat hai

HM smiled

SM: aur bacha hua ek hafta?

HM: vo hum ek hafta jaldi jayenge

KS (yelled at the sudden statement): kyuuuuuu

HM looked at KS in a questioning manner

HM: kyuki humne kaha

KS: areh par

HM: hume baat khatam karne dijiye

KS nodded

HM: humne pehle socha tha 2 weeks mei hi chale jayenge, par humne duration badha di kyuki sab itne time baad mile hai, aur fir iss saal aur jyada milna bhi nahi hoga, kaafi Kam hoga milna, chuttiya toh hai nhi aur... Plus abhi bhi inhone 12th ki padhai shuru bhi nahi ki hai,1½-2 mahine hone ko aaye... Aise kaise chalega, aaplog hi boliye

ReMa: hmm, sahi bol rhi ho

KS: kyu? Diwali ki chutti toh milegi

HM: sirf ek hafte ki

KS: haa toh usme aayenge na hum

HM: jii nhi, chuttiyo ke baad hi aapka preboard hoga

KS: acha toh Sardi ki chuttiya, tab toh preboard khatam ho gaya hoga

Sisters at heart ❤️ (Ft. KarEena)Where stories live. Discover now