Padhai ki Lagi hui hai

644 110 121
                                    

Mere priye readers jii, aaplog bol rahe hai ki mai vote target na badhau... Par aise kaise chalega ji... Ab mai thehri Commerce student, ROI (Return on Investment) mei maanti hu, agar aap commerce vale ho toh jaldi samjhoge, nahi toh mai short mei batau, toh idhar mera investment hai ye episodes likhna jo aaplog enjoy kar rahe, aur mera return hai aaplog ke votes aur comments. Toh agar aaplog achi investment (jo ki hai, speed mei episodes ke update) expect kar rahe ho, toh hum bhi toh achi return (yaani speed mei votes aur comments) bhi expect karenge na... Agar return girega, toh investment bhi gir jayega na... Simple theory 😉
Yahi aaj ki commerce class khatam hoti hai🤣

Chalo ab shuru karte hai!

Enjoyyyyy Readingggg ❤️

#Episode14

HM: aap commerce student hai🤩

KS: ha... Kyu?

HM: humara bhi commerce hi tha...

KS (in mind): L... Lag gyi... Ab fasungi na, ye humse ab kuch puchi toh pura pol khul jayega, kyuki humko toh ghanta kuch aata hai sahi se, ab tu gayi Karishma, bohot faaki maar liya, humara toh 11 mei bhi pura faaki maara hai

HM: kya hua, kis soch mei padh gyi

KS:heheh... Hum? Hum toh kisi soch mei nahi...

HM rolled her eyes in disbelief

HM: khair toh aap sach mei padh rhi hai?

KS: j... Jii abhi toh bataya na jiji, eco... Economics padh rhe the hum last

HM: acha, toh last jo bhi padha ho aapne usme, aapke choice ke koi bhi 3 chps ka aap hume kal test dengi

KS (with wide eyes): teen😳😳😳

HM: 5 kar de?

KS: nahi nahi... Bilkul nahi

HM: haa toh apne Mann ke 3 kar lijiyega, aur hume aap jab nashta karne jayengi kal subah, tab book de dena, hum paper bana denge

KS: a.. acha.. ye toh thik hai, par jiji 3 bohot jyada nahi hai?🥺

HM: nhi toh, revise hi toh karna hai, kabse session start ho gaya, aur Eco toh aapne latest padha tha, toh time bhi jyada nahi lagega...

KS: par fir bhi

HM: pehli baar hume test de rhi ho isliye easy rakh rahe hai hum... Ab jyada chapar chapar kiya toh badha denge

KS: nn... Nhi nhi..  nhi jiji uski kya zarurat hai (smiling nervously)

HM: haan, aur fir kal ye test ke baad maths aur accounts ki haalat dekhenge aapki... Usme toh regular practice karna padhta hai... Taalne se nahi hoga, samjha?

KS nodded in agreement

HM: muh se bolo Karishma

KS (fumbling) : aa... Haa.. jii

HM: fumble kyu kar rhi hai aap? Koi problem hai?

KS: n...  nahi toh jiji...

HM: thik hai fir... Hum aaj apna kaam library aur office mei kar lenge taaki aap ache se concentrate karke padh sake... Varna Hum room mei rahe toh distract ho jayengi aap, lunch aur dinner pe canteen mei milte hai... Okay?

KS: jii thik hai jiji, jaisa aapko sahi lage

HM takes her stuff and leaves from the room with thoughts in her mind

HM (in mind to herself): ye Karishma itna innocent kyu ban rahi hai, kahi kuch gadhbadh toh nahi?! Kya hi gadhbadh hogi... Yaa toh isne humse jhoot bola, aur ye padh nahi Rahi hai bilkul, par agar aisa hua toh fir nahi chodhenge hum ise... Ye dil lagake padhe na... Toh bhi koi shuru ke 3 easy chapters ek din mei kar sakti hai... Bas phone mei na lagi rahe ye, chalo kal dekha jayega

With this, HM went and settled herself in the Library

Meanwhile KS in their room:

KS (in mind to herself): ama jiji bhi na, itna bada problem ka pahad humare sarr pe fodd ke puchti hai problem kya hai.. ab unko kya bataye hum, ki humne abhi tak us subject ka book hi nahi khola hai... Yaar Karishma tu bhi toh pagal hai na, koi easy subject jaise BST (Business Studies) ya English ya Hindi jaisa kuch batana tha.... Chalu toh ek bhi subject nahi hua hai par easy ka naam lete toh uspe test leti na jiji... Ye kaha eco ke bojh mei dabb gye... Ama bhak... Ab kya kare... Chalo shuru karke hi dekhte hai....

KS started studying... At lunch time her sleep broke (haanji, neend khul gayi uski, so gayi thi na bechari meri tarah padhte padhte) due to the ringtone of her phone on which the name flashed 'jiji'

KS: ama... Jiji kaahe phone kar rhi

KS checked the time

KS: oh shitt... Lunch time ho gaya... Aur hum... Ye kya hum toh so Gaye the, par kaise...

Just then KS's gaze again moved to her phone which was still ringing with the name 'jiji'

KS cleared her throat and took the call being scared

Conversation on call:

KS: aah... Haa jiji, boliye

HM: kya haa jiji, time dekha hai... Lunch time over hone ke baad jayengi toh khaana nahi milega aur hum bhi bahar nahi leke jayenge

KS: aha... Nhi jiji, hum bas aa rahe hai... Vo hum time dhyan nahi diye

HM: aur phone kaha patka hua hai, aise toh pura din isme ghusi rehti hai

KS (bit her lip and closed her eyes as she was lying): vo jiji... Vo silent kar diya tha na... Taaki disturbance na ho...

HM: matlab zoro shoro se padhai ho rahi hai, good girl... Chaliye abhi filhaal band karke aa jaaiye aur khaana kha lijiye

KS: haan aa rahe hai jiji

HM: room thik se lock karke aana

KS: ji...

They end the call

HM (in mind to herself): chalo shukar hai, padhai kar Rahi hai ye

KS (in mind to herself): kya good girl, idhar hum shuru bhi nahi kiye hai.... Chalo ab lunch karke aake padh lenge

KS freshened up, had lunch and came back




Aajke liye bas itna hi...

Kya padh payegi KS ya padh jayega uska jhoot uspe bhaari?

Sochte rahiye...

Precap: Koi aaya hai

Target: 🎯💯

Votes: 80

Comments: 40


Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.

Sisters at heart ❤️ (Ft. KarEena)Where stories live. Discover now