Lunch - together

767 110 65
                                    

Areh bhaiii log maii apna board exam likh Rahi thi jab target complete hua 🤣🤣🤣🤣 isliye post nahi aaya tab .... Ab jo phone khola hai, aaplog ka bawal dekh Rahi hu.... Itnaa pyaar ke liye, I'll try to return it with interest by writing good episodes... Abhi ke liye aaplog enjoy Karo!!! Aur ab toh Mera agla exam sidha 13th ko hai, toh episodes toh ready rahenge, target complete hote hi upload ho jayenge!!!!

Chalo ab shuru karte hai

Enjoyyyyy Readingggg ❤️

#Episode 4

KS: coach... Kaha kho gyi aap

HM: umm.. sorry vo hum kuch sochne Lage the, aur rahi baat aapke sawal ki toh haa, hum bhi in baato mei vishwas rakhte hai

KS: bohot Kam log aise hote hai, jo aisi deep conversation kar paate hai, aur vishwas karte hai...

HM: hmm (nodded while smiling)

KS: Par humara kya connection hoga? Hum toh sirf student hai aapke (said sadly)

HM: koi baat nahi, hum aapki badi behen jaise hai na

KS: badi behen (exclaimed excitedly).. aap.... aap humari badi behen banegi?

HM: aap hume jhel paayengi toh pakka

KS: aisa bhi kya hai, humare nakhre jyada hai

HM: nakhre uthaane mei tajurba hai humara... Par hume jhelna mushkil hoga, hume sab perfect chahiye hota hai, aap daat khaane ke saath maar bhi kha sakti hai

KS: agar saath mei badi behen ka saath aur pyaar milega toh hum ready hai

HM (smiled whole heartedly): thik hai fir, par ground aur sab students ke saamne hum aapke coach aur aap student, aur room mei ya aise bahar

KS (interrupted): aap humari jiji

HM (smiled): jii

KS smiled and was looking outside through the window

KS (in mind to herself): badi behen, woww....pata nahi humari asli badi behen, Noor di kab milegi... Hume toh ye bhi nahi pata vo Zinda bhi hai ya nahi... Nhi nhi, zarur zinda hogi, unhone waada kiya tha humse ki zarur lene aayegi hume... Am sure vo ab bhi khoj Rahi hogi hume.... I miss you Noor darling)

KS: umm.. kitna dur hai jiji?

HM: bas thodi der aur... Delhi mei itna traffic hota hai na... Uff

HM glanced a look at KS

HM: kuch kehna hai aapko?

KS: umm jii... Vo hume Amma ko call karna tha, humara phn toh charge pe chodh aaye hum.... Vo tension le rhi hogi

HM forwarded her phone and told her the lock '2325'

KS gave her a look and then dialled her mother's number

On call:

KS: haa Amma, hum KS

RS: ________

KS: sab thik hai, haan training... Vo...

HM: phn speaker pe kariye

KS: par jiji...

HM: bharosa rakhiye

KS puts the phn on speaker

KS: Amma humari coach aapse baat karegi

HM: namaste, hum hai Haseena Mallik, KS ki coach

(Due to network issue, RS did not hear HM's name, she just heard that she is KS's coach and continued the conversation)

RS: haanji beta bolo, meri beti tang toh nahi kar rhi

HM: nahi aunty, par aaj inki training chut gyi (explained the entire matter)

RS: kitni careless ho tum Karishma

HM: areh aunty, aap fikar na kare... Vo ek din ka koi problem nhi hoga, aap bas ek email bhej dijiye hume official I'd pe ki Safar ke thakan ke vajah se KS attend nahi kar paayi toh fir aaj ka day count nahi hoga

RS: par ise saza milni chahiye aisi laparwahi ki

HM: par ye pehli baar tha na aunty, kalse ye late jaane ka toh sochegi bhi nhi, hum inhe 10 minutes pehle le Jaya karenge...

RS: thik hai, hume tumpe bharosa hai, uski coach ho, acha hi sochogi... Hum bhej denge email... Baaki tum dekh lena

HM: ji aunty, shukriya

RS: humari bachi ka dhyan rakhna beta

HM: ji zarur

KS: Amma aapne hume maaf toh kiya na

RS: ha ha, ab aage dhyan rakhna

KS: jii,ab hum rakhte hai... Bye

The conversation ended

They reached the restaurant and went and took a seat.

HM: toh, kya pasand hai aapko?

KS: Chinese, idhar milega?

HM: woww, hume bhi Chinese pasand hai, aur idhar ka toh bohot acha bhi hota hai, isliye toh yaha aaye hai

KS: humara ek aur connection

HM chuckled on KS's cuteness

HM: aap non veg khati hai ki veg?

KS: hume non veg bohot pasand hai... Par gharpe hum akele padh jaate hai, kisi ko nahi pasand tha, toh aksar hume Amma bahar le jaake khila deti thi...

HM: oh achaa... (In mind: jab Ghar mei koi non veg khaata nahi, toh inhe non veg kyu pasand hai? Kahi hum jyada toh nahi soch rhe, par ye sach mei humara bacha hua toh.... Khair abhi sawal kiya toh uncomfortable ho jayegi ye, agar jaisa hum soch rhe hai, vaisa kuch hoga toh ye hume khud batayegi na... Abhi hum rehen dete hai)

The waitress (W) came:

W: areh ma'am aap, aaj ammi nahi aayi?

HM: ji nahi, ammi abhi apne sheher mei hi hai

W: toh fir... Ye kon hai?

HM: kayede se toh humari student hai, par behen jaisi hai

W: toh finally aap ammi ke alawa bhi kisi ke saath time spend karna Sikh gyi

HM: kya aap bhi...

W: aapka vahi usual order rahega kya?

HM: nahi, aap inse puch lijiye pehle... Us hisab se hum apna batate hai

KS: hum... Hum kya bole ab

W: dekho, tumhari ye jo coach hai, ye toh humesha ek plate noodles, ek plate fried rice aur ek chicken Manchurian leti thi...

KS looked at HM with wide eyes

HM: areh aise mat dekho, hum akele itna nahi khaate, ammi bhi rehti thi na saath... Hum dono ka itne mei ho jata tha

KS: ohh (shaanti mila) hume laga aap itna khaati hai toh jaata kaha hai, ekdum slim trim hai

HM: 😒😒

KS: um...vaise humara bhi yehi choice hai khaane ka... Toh aap vo same order hi le aaiye...

HM: pakka?

KS: haan jiji

HM (to W): fir yehi laaiye abhi toh

W leaves. KarEena do some chitchat and then food arrives. After eating they eat Jalebi for dessert 😉 and then leave.




Aajke liye bas itna hi...

Kya lagta hai? Kab tak honge ye log comfortable?
Sochte rahiye...

Precap: Missing someone

Targets:

Votes: 60
Comments: 35

Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.

(Kuch Rishte Aise hi ke liye thoda suggestions dm karo, ki aaplog kya dekhna chahte ho, plot I'll make)

Sisters at heart ❤️ (Ft. KarEena)Where stories live. Discover now