"Episode 02"

527 28 14
                                    

At other side, Rahim was in his room and sitting on his bed, he was smiling while looking some photographs. Umeed enters in his room along with Ahmed and sits infront of him. She saw the photographs and smiles.

Rahim: "api, kitni memories hain na hamari?"

Umeed: "han, sirf memories rehjati hain aur sab chor kar chale jate hain" she said in a low voice.

Rahim: "api, ham jesa sochte hain wese nahi hota, wo hota hai jo hamne kabhi socha bhi nahi hota"

Umeed: "han, jesa hamne kabhi nahi socha tha ke mama aur baba itni jaldi hame chor kar chale jaingai" she said in sad voice, tears are filled in her eyes.

Rahim: "api, hamne ye bhi nahi socha tha ke laiba api bhi hamai chor kar chali jaingi. Lekin hota wohi hai jo kismat mein hota hai"

Umeed: "isi baat ka to afsos hai, 3 saal pehle mama baba chalegaye, 1.5 saal pehle Laiba is duniya se chali gayi. Tumhe pata hai Rahim? Ek laiba hi thi jo mama baba ke jane ke baad sab se strong thi, ham dono ko bhi isi ne sambhala tha, lekin wo bhi ab hamare sath nahi hai" some tears drops from her eyes, Rahim become sad and his eyes filled with tears.

Rahim: "api, apne apko sambhale. Mein bhi 11 years ka tha na jab mama baba chale gaye the. Mujhe bhi inki bht yaad ati hai aur Laiba api ki to sab se zyada yaad ati hai" he said while holding his hand.

Umeed: "tum fikar na karo, mein hun na. mama baba ke baad Laiba ne mujhe sambhala tha, ab mein tumhe sambhalongi. Mujhe is baat ki bht khushi thi ke Laiba ne apne liye ek loyal life partner choose kia tha" he said and smiles.

Rahim: "han, Rayyan bhai bht ache the. Bilkul bare bhai jese"

Umeed: "han, ek wohi to the jo Laiba ko bht chahte the lekin unki family bht selfish thi. Wo Laiba ko pasand nahi karte the"

Rahim: "lekin phir bhi Rayyan bhai ne sab ke against jakar api se shaadi ki thi na"

Umeed: "han aur shaadi ke baad, unki family ne inhe ghar se nikal dia tha. Rayyan bhai ki family ne unse sare talluq khatam kardie the, inhe bilkul akela kardia tha"

Rahim: "lekin api, unki family ko problem kya thi?"

Umeed: "wo apni marzi se upper class mein Rayyan bhai ki shaadi karna chahte the isliye inhone Laiba ko reject kardia tha lekin Rayyan bhai ne stand lia aur Laiba se shaadi karli, lekin pori family ne unse moo morlia"

Rahim: "nahi api, unke dono bhai Farjaad aur Daniyal inki support mein the, wo unke sath the"

Umeed: "han, nikkah mein to wo dono nahi aye the lekin iske baad Rayyan bhai ki ami se chupane ke liye meinay Rayyan aur Laiba ko hamare flat mein shift kardia the taake kisi ko shaq na ho"

Rahim: "phir Farjaad bhai agle din un dono ko apne sath wapis ghar lejane gaye the lekin unki ami ne Laiba ko accept nahi kia tha"

Umeed: " Rayyan bhai ke abu ki to bht pehle death hogai thi. Laiba ne wo time bhi bht mushkil se guzara tha? Ahmed was peacefully sitting on her lap, he was smiling and Umeed hugs him. "Lekin Laiba ki ek nishani to hamare pass hai, uska ye pyaara sa beta" she said and smiling on him.

Rahim: "api, life mein kitne up and downs ate hain. Jab kuch din baad Rayyan bhai ki ami ne Laiba api ko accept kia, to unki ami ki death hogai."

Umeed: "bura waqt keh kar nahi ata, 2 saal pehle Ahmed ke ate hi Laiba aur Rayyan bhai ki zindagi badal gai thi, ye sirf 3 mahine ka tha jab Laiba aur Rayyan bhai ka accident hua tha lekin shukar hai ke jis din Laiba aur Rayyan bhai ka accident hua tha to Ahmed mere pass tha, jab mein news milne ke baad hospital gai to Laiba ne mujhse wada lia tha ke mein Ahmed ka khayal rakhun, aur apni zimmedari pori karo" some tears dropped from their eyes.

FARMEED: "Tum hi ho❤️"Where stories live. Discover now