Challenge

851 121 16
                                    

"Agar tumhen iski Khushi ki itni chinta hai to ise Akela kyon nahin chhod dete, v oh Khush thi Jahan bhi thi, per tumne ise Apne Jaal mein fansa kar yahan uske Ghar Bulaya aur iske Ghar walon Ko apni baton mein fasaya aur iske khilaf khada kar diya.. agar tum sach mein ise pyar karte to tum aisa kabhi nahin karte... Tum iski Khushi mein Khush rahte per tumhen isase koi pyar vyar nahin hai, Tum bus ise hasil karna chahte ho aur main aisa kabhi hone nahin dunga" said Siddhant coming in front of Samrat...

"Mr Siddhant aur whatever is your name, mujhe tumse kuch Lena Dena nahi hai. mujhe sirf Sarna chahie, aur tum chaho to iske badle mein tumhen kuchh bhi kimat de sakta hun. Tum chupchap khud mere raste se hat jao fayde mein rahoge. Bolo manjur hai?" asked Samrat looking at Siddhant with confidence...

"Aakhir dikha hi Di na apni aukat... main jaanta tha tu itna kya isase jyada bhi niche ja sakta hai. tum jaise log paisa to Kama lete ho per pyar kabhi nahin Kama sakte. aur ek baat yad rakho paison se chijen kharidi jaati Hain kisi ke jazbat nahin. Aaj main agar Sarna ki jindagi se chala bhi jaaun to Tum fir bhi ham donon Ko ek dusre se dur nahin kar sakte. hamare mann hamesha ek dusre mein hi Magan rahenge aur dil ek dusre ko hi yad Karega" said Siddhant showing his index finger to Samrat in anger.....

"Oh please shut the f*** up. there is nothing like Mann Magan or whatever you are saying, Aisa kuchh bhi nahin hota hai, tumhen bhi bus uske sharir se pyar hai, Jaise har dusre mard ko use dekhkar ho jata hai. tum aur main ham ek Jaise hi hain, per mere pass tumse jyada Paisa hai aur main tumhari Chahat ke badle tumhen Paisa dene ke liye taiyar hun.. chupchap paise Lo aur nikalo yahan se, understand?" Said Samrat getting out of his mind.... Sarna's family was totally shocked after hearing Samrat's words.. they had thought that this, man was in love with their daughter and wanted to marry her to make her life better, but he was worse than they had ever thought of somebody.. being angry at whatever Samrat had said Sarna's grandfather came and slapped on his face very hard that he is fell due to the slap...

"Bus karo! bahut ho gaya! Maine socha tha tum meri bacchi se shaadi karoge aur uski jindagi sawar doke.. Mana usne apni jindagi mein ek bahut badi galti ki hai per iski Saja main tumse shaadi kara kar to kabhi nahin dunga... Maine hamesha meri bacchi ka Bhala chaha hai, bhale hi Maine bahar sirf gussa dikhaya Ho uske liye, uski galti ke liye, per main or mere dil kabhi uska Bura nahin chah sakta.. aur mere Parivar ka koi sadasya uska kabhi Bura nahin chahega... aur Rahi baat tumhari Daulat ki to apne pass hi rakho aisi Daulat jiski koi kimat hi Na Ho ehsaso ke Bazaar mein" said Sarna's grandfather... Hearing his words everyone smiled except the Samrat and his mother who had come along with him... Sarna felt new hope rising in her heart.. she felt protected looking at how her people were taking her side... tears came to her eyes due to the happiness and warmth she felt with the words of her grandfather and sidhant....

"Oh, main keha ji hun jutti chakka ya idda hi bahar nikalo gay?" Said sarna's father to Samrat who was lying on the floor...
Translation:- would you get out yourself or should I throw you out?

Hearing his words Samrat's mother made him stand and tried to take him out... meanwhile, Samrat was glaring at everyone in the house...

"Wait, mum. tumhe lagta hai ki tum Jeet Gaye mujhse per main tumhen Bata dun ki main tumhen chain se jeene nahin dunga... main tumhen ek mauka deta hun, ya to 1 sal ke andar tum mere barabar business karke dikha do, jitna Maine kamaya utna Kama kar dikha do Varna ek sal baad main khud tumse Sarna Ko chura kar le jaunga tumhari nazron ke samne se, did you get that?" Samrat said showing his index finger to Siddhant...

"Siddhant Ko kisi Ko kuchh sabit karne ki koi jarurat nahin hai.. aur tum hote kaun ho use koi challenge Dene Wale? tumhari koi kimat nahin hai meri jindagi mein.. isliye chupchap yahan se nikal jao, Varna ek aurat kya kar sakti hai yeh tum bhi jante ho.. ham aurat jab Durga maa ke roop mein aa jaye to Tum Jaison ko Mita dete hai.. isase pahle mujhe gussa aaye aur main police mein complaint kar dun, chupchap yahan se nikalo..." Said Sana coming in front of him and pointing him towards the entrance of her house... Siddhant and others felt proud of her as she to a stand by herself...

" Huh! Main jaanta hun yeh Tum kyon kah rahi ho.. kyunki tumne bhi malum hai ki ye kabhi bhi mere barabar aa hi nahin Sakta.. voh Garib tha aur garibi rahega aur main dawa kar sakta hun Jaise iski pahli biwi ise chhodkar Chali gai thi kisi amir ke pass vaise hi ek din tum bhi is se thak kar ise chhodkar mere pass aa jaaogi, kyunki yah ek number ka nalla insan hai, ismein Paisa kamane ki takat hi nahin hai!" Said Samrat confidently with a smile on his face... Siddhant felt angry hearing his words.. he tried to control his anger by making a fist of his hands...

"Kabhi sapne me bhi mat soch Lena ki Aisa kuchh hoga.." Sarna was saying something but Siddhant stopped her and said

"Tujhe lagta hai Paisa hi sab kuchh hai na, theek hai manjur hai mujhe Tera challenge, milte Hain ek sal bad aur fir main tujhe batata Hun ki nalla kaun hai.. chal ab nikal yaha se.." said sidhant with a determined voice... Samrat fumed in anger and left from there with his mother...

"Sarna bacche mujhse bahut badi galti ho gai, Maine socha tha voh Tere liye bahut sahi hoga, per mujhse bhul ho gai, main ek Insan pahchane mein itni badi galti kar Gaya, Apne dadaji ko maaf Kari di puttar.. " said Sarna's grandfather joining his hands in front of her... Her other family members also join their hands to say sorry...

"Han sarna beta, hamien bhi maaf karna, aur Siddhant ji aur aapke Parivar se bhi mafi mangna chahenge ham sab, humne bohot galat kara aapko jhooth bolkar yahan per Bulaya aur aapko yah sab dekhna pada... humse bohot badi bhul ho gai" said Sarna's chachi... Other family members also agreed with her by saying sorry to Siddhant and his family...

Aayi joints her hands and said "aap sabhi ne Jo Kiya Apne bacche ki bhalai sochkar Kiya, isliye aapko mafi mangne ki koi jarurat nahin hai.. har maa baap, Har Parivar Apne Ghar ke bacchon ka Bhala hi sochta hai... ab Jo hua use chhodiye aur aage ka sochte hain... yah samjhiye bas ki Bala tal gai.." hearing her words, sarna's family smiled...

"Ahhhh.. amma.." Sarna cried in pain holding her baby bump... Everybody looked at her in worry... Siddhant immediately ran towards her and kept his one hand on her belly and the other hand on her back...

"Tu thik hai?" He asked in worry... Sarna nodded her head positively...

"Lagta hai baby bhi khush hai, kick maar raha hai" she said... Due to the pain caused by the kick of the baby, she had tears in her eyes... Siddhant gently rubbed the tears away and hugged her... he gently patted her back...  Sarna rested her head on his chest feeling at ease...

"Uhhu uhhu" her grandfather fake coughed due to awkwardness while others looked at both of them with mischievous smiles... Hearing her grandfather's fake cough Siddhant and Sarna parted away and looked here and there due to awkwardness...

Looking at their flushed faces everybody laughed at them, making me more embarrassed....

THERE'S ANOTHER SKYWhere stories live. Discover now