10.

792 42 49
                                    

Eik halki muskurahat k saath woh uss raat ki tasweeroun ko dekh raha tha jab uskay ghar ki ghanti baji

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Eik halki muskurahat k saath woh uss raat ki tasweeroun ko dekh raha tha jab uskay ghar ki ghanti baji. Iss waqt?

Usne darwaza khola aur saamne kharay shaks ki mujoodgi par yaqeen nhin hoa, "Aap?"

"Toh aur kisne yahan hona tha?", woh eik haath qamar par tikaye kharri thi.

"Nhin matlab iss waqt yahan aap kese?", Salaar bohat uljha hoa tha.

"Uff, eik toh tum aur tumharay sawalaat! Side mein ho, andar toh tum bulao ge nhin!", woh behadd bezaar hoi. Usne apnay haath ko Salaar k seene par rakh kar usko darwazay k saamne se hataya aur betakalufan andar ghuss ayi.

"Ghar toh bara acha hai tumhara, akelay rehtay ho?", woh uskay lounge ko eik sarr sarri nazar maartay hoye sofay par uski jagah par jaa bethi.

Salaar ko abhi bhi samjh nhin aaraha tha k yeh kiya horaha tha, yeh yahan kesay?

"Daniya, I think its highly inappropriate that you're here at this hour."

"I don't think you get to decide what's appropriate and what's not, Mister Salaar Ahmed. You don't mind spending late hours with Inshyrah, now do you?", woh tezi se sofay se kharri hokar uskay saamne hilte jultay aakharri hoi thi.

"How did you - tumhein yahan ka address kis ne diya?", Salaar ki nazarein ab sukhar gayi thein, jaise woh uski har chaal ko samjhne ki koshish kar raha tha.

"You're not the only stalker here, you know.", Daniya ne apnay paer par uchakte hoye uske kaan k qareeb madham awaaz mein kaha.

"I don't know what you're talking about, it's time for you to go!", Salaar apne chehre par se chaunk jaanay k radd e amal ko chupanay k liye murr gaya aur darwaza khol kar usko jaanay k ishaara karne laga.

"Alright then - I'll guess mujhay James ko Inshyrah se eik mulaqaat karne ka kehna hoga. Abhi kesa rahay ga? Mene suna hai Anaya baahir gayi hai.", Daniya sochne ka natak kartay hoye darwazay k baahir nikalne lagi jab Salaar ne apnay haath se uska raasta rukka, "Iss baat ka kiya matlab tha?"

"Oh now you're interested? Pehlay kehtay toh mein shuru hee iss baat se karti!", woh muskuratay hoye peechay hoyi aur Salaar ne apnay phelay baaloun mein eik haath phera. Iss waqt iski samjh mein kuch nhin aaraha tha, aur iske sabar ka eik imtehaan liya jaaraha tha.

Usne darwaza araam se band kiya aur chand lamhay uss k saath hee kharra raha, uski pusht Daniya ki taraf. Usko ghussa bhi aaraha tha, magar ghussay mein kuch ulta agar hojayega toh mushkil sab par ayegi.

Woh murra aur usne Daniya ko kohni se pakra, "Tum uskay qareeb bhi nhin jaogi! Samjh aaraha hai tumhein?"

"Mera dil apnay aapko tumhein itne ghussay mein dekh kar sambhal nhin paaraha hai. Kabhi hamaray liye bhi itne fikar mand hojaaya karo.", Apna dosra haath uskay haath par rakhte hoye Daniya ne aashiqana andaaz mein bola aur Salaar ne foran hee uska haath chorr diya aur eik gehri saans li.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now