32.

567 38 44
                                    

"Waada karo

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Waada karo."

"Kesa waada?", confusion k saath Salaar ne poocha.

"Mujhay nhin chorro ge."

Salaar ne uska chehra apnay haathoun mein liya aur uskay gaal ko apnay angoothay se sehlanay laga, "Kabhi nhin chorrsakta. Tumhein chorrdiya toh jeenay ki koi wajah nhin rahegi."

"Waada?"

"Pakka wala!"

"Aur kabhi mujh ko chorr k bhi nhin jaogay?"

"Kiya dono ka eik hee matlab nhin?"

"Nhin. Chorr k jaanay mein aur chorrne mein farq hai. Chorro gay toh uska matlab k tum mujh se muhabbat ab nhin kartay. Chorr k jaanay se muraad tum mujhay kabhi akelay nhin chorro ge."

"Tum akelay thori hogi. Sab houngay toh saath."

"Sab tum nhin hogaye, Salaar.", Inshyrah ne halki awaaz mein kaha tha.

"Agar mere haath mein hoga toh kabhi nhin chorroun ga, Inshyrah. Dou dafa toh chorr chuka houn, ab nhin.", Inshyrah uskay aakhri jumlay pe confuse hoi thi magar usse pehlay woh kuch poochti Salaar ne apnay haath uskay gird lapait k usko apnay paas khenchliya tha. Usne Inshyrah ka maatha chooma aur phir apna sarr uskay sarr pe atkaatay woh saamne dekhne laga. Inshyrah bhi wahein kharri rahi.

Aese uskay saath gallay lagaye woh mehfooz aur itminaan mehsoos karrahi thi. Kaash waqt aese hee tham jaata.

Magar waqt ka shayad yehi masla hai, woh logoun ki nhin sunti aur na woh lamhay ko dekh k aata hai. Chahay woh waqt acha ho, ya burra.

"Salaar!", Inshyrah chaunkay uthi thi. Woh ab apnay kamray mein bistar pe thi. Woh yahan kese ayi, usse maloom nhin tha. Shayad woh kabhi apnay kamray se bahar gayi hee nhin thi.

Uski awaaz sunnke Aalia kamray mein daakhil hoyein thi. Khirkioun pe parrday dallay hoye thay jiski wajah se kamra andheray mein dala tha. Inshyrah ne apni bedside table ka lamp khola aur bistar pe kuch dhoondne lagi.

"Kiya hogaya, Inshyrah?", Aalia ne narm lehjay mein ussay poocha tha. Inshyrah unka chehra andheray ki wajah se dekh nhin saki, agar dekhleti toh woh unki laal aankhein aur behtay aansoun ki wajah se yeh samjh jaati k woh eik khuaab nahi tha, darawni haqeeqat thi.

"Mera phone. Mera phone kidhar gaya? Salaar ka phone aana tha, usne kaha tha k Shams k saath wapsi pe woh phone karega.", Inshyrah bistar pe se takkiya haatatay tezzi tezzi bolrahi thi, awaaz mein ghabrahat wazeh thi.

"Inshyrah...", Aalia ne madham awaaz mein kaha tha. Woh uskay barabar mein aakar beth gayein thein aur uska haath apnay mein thaama.

"Mama, abhi nhin. Aap samjh nhin rahein!"

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now