06.

686 54 18
                                    

"Yeh grades aye hain tumharay? Seriously?", 16 saala Inshyrah darri hoi zameen ki taraf dekhrahi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Yeh grades aye hain tumharay? Seriously?", 16 saala Inshyrah darri hoi zameen ki taraf dekhrahi thi. Uski himmat nhin hoi k woh sarr utha kar apnay waalid ka saamna kar sakay.

"Isse behtar toh mein tumhein ghar mein betha deta! Aese logi tum admission Med School mein?", uskay abbu k haath mein uski 11th Grade ki result sheet thi.

"Mujhay med school mein nhin jaana...", Inshyrah ne halkay se abhi bhi zameen ki taraf dekhte bola.

"Lo bhae, nayi sunno inki!"

"Hasan, bas kardein! Usne mehnat ki thi, aap yeh jaantay hain!", peechay se Aalia ki awaaz ayi thi.

"Yeh sab tumhari dheel ka nateejah hai!", Hasan sahab ghussay mein murray aur apni begum ko kaha.

"Abbu, bas kardein! 11th grade ka result hai, college ka nhin!", peechay se 19 saala Shehryar ab apni behn k saamne aakhara hoa, "Kaafi suna diya aaj apnay isko! Iss dafa papers kaafi mushkil aye thay!"

"Toh Anaya k kesay straight A's aagaye?"

"Abba Anaya aur Insh mein farq hai! Insh ko Insh hee rehne dein, yeh mamooli grades iska future decide nhin kartay!"

"Mein toh karta hee bakwas houn. Koi samjhta hee nhin k unkay bhallay k liye hee mein itni sakhti kar raha houn! Theek hai bhae.", Hasan sahab ne result sheet table par de maari aur kamray se baahir nikal diye. Aalia ne eik nazar Insh par daali magar Shehryar ne ishaaray se unko abbu k pass jaanay ko kaha, mein sambhal loun ga! Aalia ne hammi me sarr hilaya aur kamray se bahar nikal gayein.

Shehryar usko dekhne k liye murra hee tha jab Inshyrah bhi aansu pochte hoye kamray se nikal kar apnay kamray mein bhaag gayi.

Aese hee shaam guzar gayi thi. Inshyrah apnay kamray se baahir nhin ayi thi. Shehryar ne chaabi lagakar uska darwaza halkay se khola ajr dekha k woh bistar k eik konay par sooji aankhoun k saath bethi thi.

"Chalo ice cream khaanay chaltay hain!", Shehryar purjosh awaaz mein kehta andar aaya.

"Mujhay nhin khaani hai!", Inshyrah ne sarr morrtay hoye narmi se bola.

"Inshyrah, chalo!", Shehryar ne thori sanjeedgi se bola aur haar maanti uth kharri hoi aur Shehryar k moun par eik gehri muskurahat thi.

Woh dono icecream parlour mein thay. Inshyrah ne ice cream khaanay se mana kardiya tha magar ohir bhi Shehryar ne uskay haath mein eik chocolate ice cream thama di thi.

"Dekho Insh, abbu bas tumharay liye pareshaan hotay hain, tabhi woh thoray ghussay mein aajatay hain. Woh bhi jaantay hain k tum ne bohat mehnat ki thi, magar ab jo hoa, so hoa!", woh khamoshi se icecream k chotay bites lerahi thi aur woh usko samjha raha tha.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now