23.

607 36 140
                                    

Karachi mein shaam dhalchuki thi jab woh dono arrivals k darwazoun se bahar niklay

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Karachi mein shaam dhalchuki thi jab woh dono arrivals k darwazoun se bahar niklay. Shams trolley par luggage rakh kar unkay upar beth gaya tha aur Salaar dhakka lagaraha tha.

"You know, you're not the only one tired here from a 9 hr long flight. Toh saalay, hatto. Itna wazan daaldiya hai, dhakka bhi ab nhin lagraha!"

"Mera koi wazan nhin hai acha, yeh tere samaan ka wazan hai jo tum poora London uthakar leaye ho.", Shams ne Salaar ko chirrhatay hoye kaha aur apna suitcase trolley se utaara.

"Ab itnay naraaz hogaye k airport k iss hujoom mein chorr kar jaarahay ho?"

"Toh kiya ab tum mere saath ghar jaoge?"

"Mere saath nhin chaloge? Ammi khush hojayeingi.", Salaar ab aagaye barhtay bolraha tha.

"Aana toh tha, but I miss my —"

"Miss your?", Salaar ne sawaliyaati nazaroun se poocha.

"My house. Mera apartment. Meri billi.", gardan khujaatay hoye Shams ne baat ghoomanay ki koshish mein kaha.

"Magar, you don't have a cat?"

"I would have a cat if you would stop dragging me everywhere with you!", Shams ghussay mein chilaya tha aur Salaar usko hairat se dekhraha tha, shayad uss darr gaya tha.

"Acha bhae, nhin ao. I'll see you tomorrow then."

"In Sha Allah!", Shams ne Salaar ko gallay lagatay bola jisne jawaban uskay kandhay par 2-3 dafa haath thap thapaya aur phir dono dost alag alag raastay barh gaye.

• •✽• •✽• •✽• •✽• •

Ghar ka barra darwaza guard ne khola aur siyah BMW ghar k andar ghussi aur porch pe usko park kiya gaya. Usne siyah gaari se kadam bahar nikaala aur angrayi li. Ajj ka poora din usne bethay bethay guzara tha aur ab uskay gardan k gird dard horaha tha.

Ghar ka barra darwaza mulazim ne band kiya aur gaari ki diggi khol kar usmein se driver k saath mil kar samaan nikaala. Salaar ne apna bag pack pakar ke apnay kandhay par daala aur eik sarr sarri si muskurahat dono ko de kar ghar k andar barhgaya.

"Ammi?", ghar mein ghustay hee usne awaaz lagayi aur tab hee Saira living room se muskurati hoi bahar niklein, "Aagaya mera beta!"

"Jee, aapne kaha aur mein aagaya.", Salaar ne hasstay hoye kaha aur apni ammi ko gallay lagaliya, "Kesi hain?"

"Mujhay kesa hona hai? Roz toh baat hoti thi!"

"Haan, magar phir bhi.", unko aapnay aap se alag kartay hoye Salaar ne fikr k saath poocha.

"Mein theek houn, Salaar.", unhounne pyaar se uskay gaal par haath rakha, "Khush houn, mutmayeen houn. Aesi khushi ki khabar tum ne mujhay sunayi hai, kuch kharab kesay ho sakta hai?"

Salaar unki baat par halka sa hassa aur phir apni ammi ka haath chooma, "Aap bohat achi hain. The best Ammi!"

"Acha bas bas, ab apna angreizi makhan lagana mat shuru hojao.", usne uskay kandhay par halkay se haath maartay kaha, "Kuch khaoge?"

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now