07.

757 49 50
                                    

Jab tak Inshyrah Shehryar k kamray tak pohanchi thi, woh apnay bistar se taek lagaye leta tha aur un dono k waalid seene par haath baandhay usse sanjeeda lehjay mein baat kar rahay thay

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Jab tak Inshyrah Shehryar k kamray tak pohanchi thi, woh apnay bistar se taek lagaye leta tha aur un dono k waalid seene par haath baandhay usse sanjeeda lehjay mein baat kar rahay thay. Shehryar apnay abbu ki baatein gorh se sunn raha tha jab uski nazar darwaza k paas kharri Inshyrah par parri jo k andar aanay se katra rahi thi, aur uski taraf muskuraya. Unkay walid ne eik sarr sari nazar peechay daali aur usko saaray aihtiaat ka bata kar bahir ki taraf chaldiye.

"Aa bhi jao andar, mere andar himmat nhin k tumhein lekar aoun!", Shehryar abhi bhi ussi shrarti andaaz mein bol raha tha.

"Kesay ho?", Inshyrah ne narmi se poocha aur uskay bistar k qareebi stool par jaa bethi.

"Fit as a needle. Eik marathon toh bhaag hee sakta houn!", Shehryar ne hasne ki koshish ki magar uskay seenay mein dard ubhra aur usne apnay seenay par haath rakha.

"Araam se, aihtiaat karo. Zayada hasne bolne ki koshish na karo.", Inshyrah ne sanjeeda lehjay mein bola aur woh bas apni behn ki fikr ko muskurata dekhta rehgaya, "Acha tareeqa hai mujhay chup karwanay ka!"

Woh dono aese hee bethay rahay, Inshyrah ko samjh nhin aarahi thi k woh baat ka aghaz kesay karay.

"I would start with an apology!", Shehryar ne usko chhat ki taraf dekhte bola, aesa jaise k usne apni behn ka dimagh parhliya ho.

"I'm sorry, Shehryar. Chahay mein yeh jitni baar bhi boloun, guilt aur regret kam nhin hoga. Mere nakhroun ki wajah se tum yahan ho! Meri hasad, meri misunderstanding. God, I'm so selfish.", Inshyrah k aankhoun mein aansu aagaye thay jinko woh rokh kar rakhi hoi thi.

"Inshyrah, you're not selfish! It was my fault. Patanhin mere dimagh mein aesi kiya soch thi jisne mujhay yeh bhuladiya k tum meri pyaari aur masoom behn ho jo aksarr barri banay ki koshish karti hai, magar ab bhi eik chotu bachi hai. Mujhay tum par haath nhin uthana chahiye tha.", Inshyrah ne Shehryar ka bistar par parra haath apnay dono haathoun mein pakar liya tha.

"I don't hate you, Shehryar! I could never hate you. Tum meray iklotay bhai ho, jo k zindagi k harr qadam par meray saath tha. I'm sorry about everything. You stood up for me everytime. I couldn't have asked for a better brother. I love you, Shehryar, and there's no force in this world that could change that!", uski baat khatam hotay hee Shehryar ne usko kheench k gallay lagaliya tha. Inshyrah ne poori koshish ki k woh apnay bhai ko zorr se na pakray magar uskay aansu ab girnay lagaye thay.

Woh dono aesay hee ab gallay lagaye thay, "I love you too, sis." Shehryar ne uskay kaan mein halkay se bola aur woh nam aankhoun k saath muskuraati hoi peechay hoi. "Acha bas bas, cut the water works, rulaye gi kiya?"

"Thoray se aansu bahalo ge toh marr nhin jaogay."

"Martay martay bacha houn, madam. Kiya baat karrahi ho!", issi baat par Inshyrah ne uskay sahi kandhay par haath maara, "Aesi baatein karnay k paisay miltay hain kiya?"

"Nhin, magar meri behn ko mujh se mohabbat zaroor hojaati hai!"

"Ugh. I hate you, Shehryar!", Inshyrah ne chirrte hoye bola.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now