27.

660 39 173
                                    

*TRIGGER WARNING*
Usage of drugs and physical abuse.

"I'm sorry sir, but we can't file a missing complain report before 24 hours!", desk k peechay kharray police ahelkaar (officer) ne samjhaatay hoye bola

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"I'm sorry sir, but we can't file a missing complain report before 24 hours!", desk k peechay kharray police ahelkaar (officer) ne samjhaatay hoye bola.

Jhin jhilata hoa Shehryar peechay hatta aur apnay baaloun mein se tezzi se haath pheira, kesay woh surat e haal ki nazakat inn logoun ko samjhaye.

Salaar side mein kharra behadd bechani k saath sab dekh raha tha. Woh bilakhir aagaye barha.

"Sir, you have to file the missing person's report!"

"Sir, for the last time —"

"He has attempted this before, dammit!", Salaar ne counter par muthi banakar maara aur chilaya tha aur jaise police station mein harr chalta ya kaam karta fard chand lamhay ko rukk gaya. Police officer ne gehri saans li.

"He has attempted this before. I saved her last time, and I would've this time too but the situation isn't in our hands. We need to know where she is before it's too late! They could leave the city in a day, dammit. Her life might be at risk, why don't you understand?", tahamul magar behadd sanjeedgi se Salaar uss police officer ko samjha raha tha.

Police officer ne eik gehri saans li aur kuch kaaghzaat nikaalay aur pen pakara, "What's her name and we may need a recent photograph which we will have to circulate to other stations.", aur station mein harr barri barh gayi. Shehryar aur Salaar tamam information rawani se batarahay thay. Ghar par Anaya jaaye namaz par beth ke apni dost ki hifazat ki duayein maangrahi thi aur Shams bechayni se tahl raha tha.

Chand lamhay baad tamam police station mein high alert ka notice jaari hogaya tha.

• •✽• •✽• •✽• •✽• •

Taqreeban khaali ghar mein ghanti ki awaaz goonj rahi thi. Haath apnay gird baandhay apron par pochti eik angreiz khatoon kitchen se tezzi k saath ghar k dosre konay pe lagaye phone ki taraf barhti ayein aur phone uthaya.

"Hello?"

"Hey Lia, its me!", phone k paar se madham awaaz ayi.

"Yes Sam, is everything okay?", khatoon ne muhtaat andaaz mein poocha. Unkay shohar ka phone tha jo dupehar mein kabhi phone nhin kiya kartay thay.

"Yeah, everything is fine. I'm sorry but we have to postpone our plans for tonight!"

"What, why?", Lia k chehray par wazeh hairat aur afsos ubhra.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now