01.

2.9K 77 59
                                    

A U G U S T  — two years ago

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


A U G U S T  — two years ago

"Inshyrah! Uth jao yaar!", Anaya ki awaaz k saath saath darwazay par dastak ki kaatar ka shorr bhi usko uski neend se nhin jagga pa raha tha.

Yeh roz ka mamool bangaya tha. Saheba hamesha daer tak soti rehti hain, chahay raat ko jaldi so jayein ya daer se.

Ab darwaza khul chuka tha. Aur ghussay mein Anaya andar daakhil hoi. Inshyrah har barra ke uthi, jaise hee uskay moun par thanda pani girra.

"Kitni daer se awaaz derahi houn! Sunayi nhin deta kiya?"

Inshyrah abhi bhi apnay hawaaz mein nhin thi, "Tum ne... mere upar - Batameezi ki intehaa hai yeh!"

"Tum mujhay late karwanay wali ho!"

"Alarm lagaya toh tha mene!", Inshyrah ab apna kambal uchaalte hoye apna phone dhoondne ki koshish mein lagi tha. Kahan hai yeh musibat?

"Yaar, jao tayyar ho! Late kar aogi warna.", Anaya ab bahar nikal gayi thi. Inshyrah ne gharri dekhi toh subha k sawa aath bajrahay thay, usko campus par aglay tees minute mein hona tha.

Woh samjh nhin payi k aaj hee yeh sab kioun horaha tha uske saath. Woh bistar se uthi aur foran bathroom mein ghussi. Taqreeban 15 min woh tayyar thi aur bag mein cheezein thoosti woh kamray se bahar nikli thi.

"Yaar Anaya, tum ne mera phone dekha hai?", woh abhi bhi apnay bag mein apni kitabein thoos rahi thi k woh jaakay deewar se takrayi.

Deewar se nhin, eik insaan se.

"Good morning, sister dearest!", woh aadmi apna dono haath peet k peechay baandhay khara tha.

"Tum? Tum yahan iss waqt kiya kar rahay ho?", Inshyrah usko dekh kar chaunk gayi thi.

"Izzat dena bhool gayi ho, ya kabhi seekhi nhin?"

"Hamesha se saath rahay ho, pata nhin k mein unki izzat nhin karti jinki zindagi mein sirf mujh se beizzati hee likhi ho."

"Sharam karlo, bara bhai houn tumhara."

"Aray yaar, acha hatto. Anaya kidhar hai?", Shehryar ko side mein dhakailte hoye woh fridge se paani ki bottle nikaalrahi thi.

"Woh nikal chukki hai."

Inshyrah ne chaunk kar usko dekha, "Mere beghair?"

"Woh kehrahi thi k usko class se pehlay library jaana tha, aur aap hasb e mamool daer kar rahi thien."

"Aur aap kioun yahan rukay hain. Balkay kioun aye hain?", Inshyrah ab apnay jootay baand rahi thi.

"Mein eik acha bhai aur mangeitar ki ahsiat se aap dono k liye donuts laya tha. Phir socha k wapsi par tumhein campus par drop kardoun ga."

Inshyrah ne uth kar dekha toh counter par donuts ka dabba parra tha. Usko chehre par khushi wazay thi. Woh foran se dabbay ki taraf barhi aur dabba khol kar eik donut nikaal kar woh 2-3 bite mein khaagayi aur ab doosre ki jaanib barh rahi thi.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now