02.

1.2K 69 47
                                    

S E P T E M B E R — two years ago

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

S E P T E M B E R — two years ago

Aese hee takreeban eik mahina guzar chuka tha. Inshyrah aur Salaar ki dosti mein bartarri hoi thi aur ab dono aamoman saath dikhte thay. Milne k kuch hee roz baad Salaar ka taaruf Anaya se bhi hogaya tha aur uskay eik do haftay baad Shehryar, Inshyrah ke bhai, se bhi.

Inshyrah aur Salaar apna farigh waqt ya toh coffee shop par guzaartay thay ya phir Inshyrah usko koi nayi jagga ghumaanay lekar jaati thi jismein kabhi kabhar Anaya bhi saath aajaya karti thi. Inmein aksarr eik naye restaurant ko try karna tha jiske baad Salaar ka sirf eik hee kehna tha, "Yaar, not to be racist, magar yeh angreizoun k khaanay itnay bad mazah kioun hotay hain? Matlab 300 saal yeh India mein rehay hain aur phir hakoomat kartay rahay, kuch toh seekhleta hai banda.", jispar Anaya aur Inshyrah k kehkahay choot jaatay thay.

September ka mahina aachuka tha aur Inshyrah ki ammi apni ikloti beti ko bohat yaad kar rahi thein. Aur karein bhi kioun nhin, 2 mahinay pehlay unhounne uski akhri baar dekha tha jabkay undono k beech mein sirf navvay (90) minute ka faasla tha.

Toh iss weekend par usne bilakhir jaanay ka faisla kiya. Iss haftay woh bilkul farigh thi, saaray assignments submit hochukay thay aur koi plan bhi nhin tha. Anaya k kuch projects pending thay toh woh chahti thi k woh Anaya ko disturb na karay toh behtar hoga. Anaya ne bhi aanay ka plan banaya toh tha, magar usko poora karna uski fursat par dependent tha. Salaar bhi iss haftay apnay assignments mein busy tha toh woh kuch plan nhin karsaki thi. Toh iss boriyat mein paray rehnay se behtar usko apnay ghar jaanay ki sooji. Boriyat aur amma ki shakiyatoun ka eik hee dafa mein khaatma! Aur wesay bhi, There's no better place than home!

Friday ko uski aakhri class khatam hogayi thi. Usne socha ajj woh James se bhi poochegi agar woh uskay saath chalna chahe ga. James aur woh aathvein (8th) jammat se dost hain, tabhi woh Inshyrah k ghar waloun ko jaanta hai aur woh usko. Uskay ghar walay bhi isse waaqif thay k James aur Inshyrah relationship mein hai, aur shuru shuru mein unko kuch aiteraaz bhi thay, magar Inshyrah ne unhe samjha diya tha k yeh sirf waqti hai. Unkay relationship ko ab 2 saal honay walay thay; uski ammi abhi bhi James ko ussi tarah treat karti thein aur Shehryar bhi. Inshyrah ko samjh aagayi thi k uskay iss relationship ko waqti kehne k baiz dono ne iss k idea ko apnay zehn se ratt kardiya tha aur unkay liye James abhi bhi sirf Inshyrah ka dost tha. Hadd hai bhae!

Woh library mein ghussi thi aur wahan James kitaboun ki shelves k saamne khara, koi kitab dhoondne mein mashgool tha. Inshyrah khamoshi se uskay barabar mein jaa khari hoi.

"Hi!", usne purjosh tareekay se bola k James chaunk giya tha. Usne dekha k usko daranay wala kaun tha aur uska moun utarr gaya tha.

"Hey."

Inshyrah ko uskay lehjay mein khafgi mehsoos hoi thi, "Hey, is everything okay? Are you alright?"

"I don't know, you tell me.", usne ab eik kitab khol kar uskay safhoun ko palatna shuru kardiya tha aur nazarein uthaye bagair pheekay andaaz mein bolraha tha.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now