11.

652 46 40
                                    

Kamray ki eik deewar se lagaye lambay seeshay mein dekhte hoye apni tie ko theek karta, woh 19 saal ka shaks nehayat professional aur eik achay khaandan se munsalik lagraha tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Kamray ki eik deewar se lagaye lambay seeshay mein dekhte hoye apni tie ko theek karta, woh 19 saal ka shaks nehayat professional aur eik achay khaandan se munsalik lagraha tha. Apni study table ki chair par tanga hoa suit jacket usne uthaya aur jharakne k baad apnay haath usmein ghusaye aur seedha karke button band karne laga.

Tabhi koi uskay darwazay par kharra aakar usse bolanay laga, "Salaar, aur kitni daer hai tumhein —?", usse pehlay k woh apni baat khatam kartein, unki nazar apnay iklotay betay par parri aur woh jaise khud hee hairan hogayein.

"Mein toh tayyar houn, aap batayein ammi! Abbu aye k nhin?", woh apnay haath mein gharri baandhta kehraha tha, uski pusht abhi apni ammi ki taraf thi tabhi woh unka hairan kun radd e amal ko nhin dekh saka tha.

Woh murra toh woh aese hee usse dekh rahi thein, wohi hairat aur ab aankhoun mein chuppi hoi udasi ubhar ayi thi. Woh apni ammi k paas eik dam chalay aya, "Kiya hoa ammi? Yeh theek nhin hai kiya? Aap itni udaas kioun lagrahi hain?"

"Aray mein kahan udaas houn!", uski ammi ne apni ungli se aankh k konay par banta aansu poocha aur apnay betay ko eik gehri muskurahat di, "aur tum aese bohat se bhi zyada achay lagrahay ho! Mera shehzaada.", unhoun ne pyaar se uskay gaal par apna haath rakha aur Salaar ne uss haath ko dabba kar eik gehri muskurahat di.

"Ajj tum apnay mamoo se bohat milrahay ho!", woh kuch lamhay baat bolien aur Salaar ki aankhoun mein hairaangi chayi. Itnay saaloun mein uski ammi ne shayad pehli baar uskay mamoo ki baat ki thi. Pehli baar, woh bhi unko aur usko milatay hoye. Salaar kabhi apni ammi k iss dard ko nhin samjha tha ya samjh sakay ga. Uski ammi ki family zinda hotay hoye bhi toot gayi thi, aur iska zimmedaar woh apnay aap ko hee therati thein.

"Kehtay hain k bhen bhaioun k bachoun mein apko apna aqs nazar aata hai; apki harkatein, baatein milti hain. Aaj agar woh yahan hota toh woh iss baat par zaroor yaqeen karleta.", uski ammi k aankhoun mein aansu aagaya tha aur Salaar ko aur dard mehsoos hoa. Uska bas chalta toh woh abhi apnay mamoo k haan apni ammi ko lejaata magar unke beech mein ajeebsi uljhan ko kiya woh mitasakta tha? Usse barh kar, uske mamoo iss barri duniya k konsay konay mein jaa bassay thay, ussko toh iska aata pata bhi nhin tha.

"Mein bhi kesi baatein le bethti houn", unhoun ne phir apni aankh mein banta aansu poocha aur muskurayein, "tum hee chup karadia karo! Abhi mein apna makeup kharab karna afford nhin karsakti!", unhoun ne murtay kaha aur Salaar hastay hoye unkay peechay chaldia.

• •✽• •✽• •✽• •✽• •

Defence k baray hall mein mukhtalif businessman apni families k saath tashreef laye hoye thay. Hall k eik konay mein eik band musical instrument ko eik khoobsurat surr mein bajaraha tha, jo k hall mein baatoun ki awaaz k beech mein kaafi madham thi.

Shaheer Sahab aur Saira khush mizaaji se kisi business client aur unki begum k saath baatoun mein lagaye thay aur Salaar unkay peechay kharra phone istemaal kar raha tha. Na toh aaj tak usne in parties ki samjh ayi, na hee in mein aanay ka uska maqsad.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now