36.

605 28 75
                                    

Shaam dhallay kuch ghantay guzar chukay thay

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Shaam dhallay kuch ghantay guzar chukay thay. Karachi k aasmaan mein gehre badal chaye hoye thay, barasne ko tayar.

Daniya ne khaali porch pe apni gaari aakay roki thi. Ghar bahar se khaali lagraha tha, jaise koi ghar pe nhin tha. Woh muskurayi, Salaar ne itni private meeting arrange ki?

Woh porch paar karti main gate ki taraf barhi jo k poora khulla tha, ussi ki amad k liye. Woh binna jhijhak andar ki taraf barhi.

"Daniya!", apnay naam ki pukaar pe woh chaunki aur andar barhte kadam rukk gaye. Awaaz woh bohat achay se pehchaan gayi thi. Usne ghoom k dekha toh wahan, uski nazaroun k saamne betha tha.

Woh single chair pe araam day tareekay se betha tha. Patti hoa wa paer eik foot rest pe rakha tha aur dosra paer zameen pe rakha tha. Dono haath arm rests pe rakhay thay aur qamar seedhi kiye woh usse hee gorh se dekh raha tha. Aese jaise koi baadshah apni takht pe betha ho.

Aakhri baar Daniya ne usse hospital mein dekha tha. Pattioun mein bandha, rangat pheeki aur sufaid, neend ki haalat mein. Uske baraks woh abhi bohat behtar lagraha tha. Chehray pe taaziyat thi, aankhoun mein pehli wali chamak aur khushi, gardan pe maujood zakham kaafi hadd tak bharr chuka tha aur achi khaasi pattiyan utar chuki thein, siwaye uski taang ki.

"Tum theek ho?", Daniya ne madham awaaz mein poocha tha. Awaaz mein wazeh fikr thi.

"Haan, lekin uss mein tumharay abbu ka koi haath nhin tha.", Salaar ne tanziya andaaz mein jawab diya tha.

"I'm so sorry, Salaar. I had no idea k woh aesa kareinge. Mein yeh kabhi nhin chahti thi, I swear."

"Haan, mein jaanta houn kitni maazrat khua ho tum.", Salaar ne gehri saans lete kaha.

"Dekha, mein jaanti thi tum samjhogay! Apni muhabbat ko aziyat mein dekh kar kon khush reh sakta hai, hai na?"

"Yeh toh tum ne sahi kaha. Muhabbat hai hee aesi cheez. Achay achoun ko majboor banadeti hai, achay achoun ko rula sakti hai. Achay achoun ko aziyat mein daal sakti hai.", Salaar ne bedehaani mein bola tha. Daniya usse confusion bharri nazaroun se dekh rahi thi magar phir muskuratay hoye usne apna sarr jhatka.

"Bethne ko nhin kahogay?", usne muskuratay hoye poocha.

"Marzi hai, magar mujhay lagta hai thori daer mein tumhein khud bethne ki zaroorat parray gi."

"Thori daer mein kioun, mein abhi hee beth jaati houn!", woh aagaye barhi thi, Salaar k barabar wali kursi pe bethne k liye k Salaar ne usse rok diya.

"Ah ah ah, yahan nhin!"

"Kioun? Yahan kioun nhin? Mujhay tumharay paas bethna hai!"

"Ah, how sweet.", Salaar ne tanziya muskuratay hoye kaha magar phir seedha hoa, "Magar yeh kisi aur k liye reserved hai."

"Hum dono k illawa yahan aur kon hai?", Daniya ne halkay se hasstay hoye poocha jaise Salaar uske saath mazak karraha ho.

"Mere liye.", Kamray mein awaaz goonji thi. Daniya ne murr k dekha toh Inshyrah kamray mein daakhil hoyi thi. Seenay pe haath bandhay usne pursukoon andaaz mein kaha aur jab Daniya k saath uski nazarein millein toh woh pheeka sa muskurayi.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now