14.

655 44 88
                                    

J U L Y  — one year ago

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

J U L Y — one year ago

"Bas kardo, Inshyrah", Salaar haath table par rakhay, eik se coffee ka mug pakraye, Inshyrah ko ghabra kar dekhta bola.

Shaam dhal chuki thi, aur seeshay k baahir se doosri imaartoun ki rangeen roshniyaan nazar aarahi thein. Seeshay k iss paar apni makhsoos jagga par woh dono sufaid roshni k neechay bethay thay.

"Kiya bas kardoun?", nazarein uthaye bagair Inshyrah ne bola.

"Diabetes jaisa marz tum se aakar chipak jayega, please tham jao!"

"Tumhein kabhi kisi ne seekhaya nhin hai k larki aur uskay khaanay k maamlaat se durr rehna behtar hai?", Inshyrah ne halkay se nazarein uthaye usse sanjeedgi se dekha.

"Tumhari fikr hai mujhko.", Salaar ne sarr jhatak kar coffee ka ghount liya.

"Chalo, chorr diya!", Inshyrah ne ab khaali plate aur kaantay ko table k beech mein khiskaatay hoye bola.

"Chorr nhin diya, saath choot gaya!", Salaar ne muskurahat dabba tay hoye bola aur jawaban Inshyrah ne sarr jhatka.

"Yeh larkiyan apnay khaanay k maamlay mein itni possessive kioun hoti hain?"

"Poora din roza rakha tha. Wesay bhi, khaanay se acha banday ki feelings koi nhin samjhsakta! Ab dekho, meetha kha kar tum achay mood mein aajatay ho ya nhin?"

"Mein kuch nhin kehsakta, mera lava cake tum ne khaalia!"

"Tabhi shayad itne talkh mizaaj mein ho.", Inshyrah ne madham awaaz mein coffee ka ghount lete hoye bola aur Salaar ne aankhein sukhair ke usko dekha.

"Ab khana khana mat karo, koi aur topic leao, ya mein ghar jaarahi houn!", mug neechay rakhte hoye Inshyrah ne peechi laggi gharri par nazar daaltay bola.

"Acha bhae, aglay haftay ka kiya scene hai?", Salaar ne chair se tayk lagatay hoye bola.

"Kiya aglay haftay ka kiya scene hai?", Inshyrah ne confusion se usse poocha.

"Aglay haftay eid hai, Inshyrah!"

"Hain?", Inshyrah ne phone uthatay usko khol kar bola.

"Haan bhae, kahan madhosh hain aap?"

"Yaar sou sou kar mene poora mahina guzar diya?", Inshyrah sadmay mein boli thi.

"Jee, yehi lagraha hai!", Salaar ne muskuratay hoye bola.

"Acha okay!", Inshyrah apnay aapko seedha karti, kaan k peechay baal karti hoye apnay aapko sambhalti bethi. "Aglay haftay, hmm?"

"Aglay haftayyyyy?", Salaar ne 'haftay' ko zaroorat se zayada khenchte hoye sochti hoi Inshyrah ko dekhte bola.

"Aglay haftay, mere ghar aajao. Apni family k saath! Ammi bhi tumhein bulanay ka kehrahi tbein.", Inshyrah ne purjosh andaaz mein bola.

"Tum aur Anaya itni mehnat kioun karogay apnay ghar par, choro!"

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now