03.

1K 58 56
                                    

"Aray bhae, tum ne toh poori duniya ki larkioun ko bhi peechay chordiya hai! Jaldi aao bahar!", Inshyrah garage se kharay kharay apnay phone se time dekhte hoye apnay bhai ko awaaz derahi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Aray bhae, tum ne toh poori duniya ki larkioun ko bhi peechay chordiya hai! Jaldi aao bahar!", Inshyrah garage se kharay kharay apnay phone se time dekhte hoye apnay bhai ko awaaz derahi thi.

"Aa toh gaya houn. Itni jaldi kiya hai?", uskay bhae garage k darwazay se bahar aata nazar aaya, apne haath par gharri baand raha tha.

"Abhi Anaya ko bhi pick karna hai! Aath bajay ka time tha, saaray 8 bajne walay hain. Saturday hai! Rush ka haal nhin jaantay tum?"

"Anaya ka ghar 2 ghar chorh k hee hai! Mujhe chilla chilla k aasman ko sarr par uthanay se behtar tha tum usko leaati!", uskay bhai ne uski bewaqoofi par afsoos kartay hoye sarr hilaya.

"Kis ko kis ne bulanay aanay tha?", peechay se awaaz ayi thi. Inshyrah peechay murri toh usne dekha k kaali shirt k upar gehra laal cardigan daali aur sufaid pant mein malboos Anaya unki taraf aarahi thi. Usne apnay bhai ko peechay murr k dekha toh woh kaali jeans aur sufaid shirt mein malboos tha jiske upar usne gehri laal open button shirt pehni hoi thi.

"Yaar yeh tum dono ka acha hai! Shaadi se pehlay yeh haal hai, shaadi k baad kiya hoga?", un dono ki iss harkat par Inshyrah shararat bharray andaaz mein muskurayi thi.

"Eik haseen itefaaq hai yeh.", uskay bhai ne Anaya ko aankh maari aur khud driver seat ki taraf barh gaya.

"Bas kardo, thand mein tumhara chehra laal hogaya hai, Anaya!", Inshyrah ne Anaya ko haath se pakra aur kheenchti hoi gaari ki taraf leayi, "Tum logoun ko kitni dafa kaha hai k mere saamne itni cute couples wali harkatein na kiya karo! Kuch toh taras khaalia karo."

Ab Anaya aur Shehryar hans rahay thay aur Inshyrah moun phulaye back seat par bethi thi, "Koi nhin beta, tumhara bhi waqt door nhin!", Shehryar ne rear view mirror mein dekhte bola aur phir eik muskurahat passenger seat mein bethi Anaya ko daali aur gaari start kardi.

• •✽• •✽• •✽• •✽• •

Salaar aur Inshyrah ne raat mein hee eik restaurant dhoondlia tha jo Inshyrah k ghar k kareeb tha aur Salaar ko khaanay par aiteraaz bhi nhin hoa.

Yeh eik Turkish restaurant tha. Shams ka kehna tha k Turkish khaanay sab se lazeez hotay hain. Salaar shams ki kisi baat par aitebaar itni asaani se nhin karta tha, magar unke beech khaanay ka mazaq kabhi nhin tha.

Gaari parking area mein rukki, aur teenoun bahar utray. Woh restaurant ki taraf barh rahay thay jab Anaya ne Inshyrah ki kohni pakar k peechay kiya.

"Kiya hogaya, Anaya?", Inshyrah ne apna kandha sehlaya. Iss larki ne toh haath hee hiladiya mera!

"Barra bura lagraha tha na k mein aur Shehryar match kar rahay hain. Dekho ab kon match kar raha hai!"

Anaya ne apni nazaroun se saamne ki taraf ishara kiya aur uski nazarein wahein parri. Woh saamne hee khara tha ab Shehryar se haath mila raha tha aur apnay dost se mutaarif kara raha tha.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now