20.

1K 41 274
                                    

D E C E M B E R — one year ago

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

D E C E M B E R — one year ago

Sufaid ooni topi, ooni gloves aur eik bhooray rang ka sweater pehnay, gehre bhooray baar topi se waves mein nikaltay kamar par girrtay Inshyrah aasman se girti baraf ko dekhtay hoye ghoomti mausam ka khul k mazah lerahi thi.

Woh kadam ki awaaz par rukki aur building k seeshay k darwazoun k peechay dekha jahan sufaid shirt, kaali jeans aur jacket mein malboos Salaar seenay par haath baandhay nagawari se bahaar dekhraha tha.

"Bahar ao, dekho kitna haseen mausam horaha hai!"

"Haseen ka toh patanhin, hadd se zayada thanda zaroor horaha hai. How are you not cold?"

"It's not that bad! Doesn't it snow in Islamabad?"

"Rarely, aur shukar hai tab hee hoti hai jab mein nhin hota."

"Well, it rarely snows in London too. Enjoy while it lasts!"

"The only thing I'm enjoying at the moment is central heating in this lobby. You have fun playing with shredded ice.", wapis murtay hoye Salaar ne haath se bhaagne ka Inshyrah ko ishaara kiya aur elevator ki taraf barha.

"Fine! Bano eik assi saal ka shaks. Phir batana nanhay bachoun ko k how boring you were that you missed snow time for your I don't know, cup of green tea!", ghussay mein paer patakhte hoye Inshyrah ne bola, "Mein park mein houngi agar khayal aye mera!", kehti woh murrgayi aur elevator ka intezaar kartay Salaar ne sarr sarri usko jaatay hoye dekha aur phir gehri saans li.

Park mein banni iss ab baraf se dhakki ounchayi par bethi hoi, baraf mein ungli pheirte saamne dekhrahi thi jab kisi ne zorr se uskay sarr k peechay eik baraf ka gola maara.

Achanak thandi cheez lagnay par woh chaunki aur phir ussi tasuraat k saath murri jab usne uskay peechay kuch doori par kharray ab gehre bhooray sweater k upar sufaid rang ka lamba coat pehnne Salaar ko dekha, jo k apnay dayein haath mein bana hoa gola eik fatehaana muskurahat k saath uchaal raha tha.

"Ab apnay heater ki yaad nhin aarahi?", baraf pe se kharray hotay hoye, apnay sweater ko jhaartay hoye Inshyrah ne khufgi se bola.

"Kasam se yaad toh abhi bhi aarahi hai, magar mene socha k tum mujh jaisi mahaan aur shararat bharri hasti k bagair bore hojaogi, toh mein aagaya."

"Uff, itne se apartment mein itni barri ego kesay fit karletay ho?"

"Wesay hee jaise tum eik 6 foot darwazay mein se ghusti ho; without any discomfort!", akhri alfaaz ko woh shararat bharray andaaz mein kehta hassa jab Inshyrah ne uskay moun par eik baraf ka gola maara. Baraf ka gola aadhay uskay naak par laga aur aadha uskay moun mein ghussa. Achanak hamlay k baiz Salaar ka tayyar gola bhi zameen par gir gaya aur ab hasne ki baari Inshyrah ki thi.

Inshyrah zorr se hasne lagi aur Salaar zorr se khaansnay laga. Aese hee khaanstay hoye woh ghutnay k bal betha aur phir chitt zameen par girgaya. Inshyrah ne hairat se Salaar ko girtay dekha aur foran uski taraf barhi.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now