09.

667 54 34
                                    

J A N U A R Y  — one year ago

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

J A N U A R Y  — one year ago

Naye saal ko shuru hoye ek sard haftay guzar chukay thay, classes wapis shuru hogayi thein aur cheezein Christmas ki chuttiyoun k baad ab mamool k muttabiq hogayi thein. Sab k liye, siwaye Inshyrah.

December se Inshyrah aur Salaar k beech sahi se baat na hosaki thi. Inshyrah ko laga k woh Pakistan chala gaya tha, magar bagair bataye?

Jab classes shuru hogayein thein toh woh usko campus par bhi kahein nhin dhoond payi. Library, uski classes k baahir; usne uskay classmates se bhi poocha magar koi uskay aatay paatay se waaqif na tha. Aese jaise woh hawa mein gayab hogaya ho ya zameen nigal gayi ho. Usne kayi baar uskay ghar par bhi chakkar lagaya magar koi jawaab na milla, sirf eik taala.

F E B R U A R Y  2 0 1 7

Youn hee, naye mahine ka agaaz hogaya tha. Inshyrah ne chand din toh khoob zorr lagaya apnay dost ko dhoondne mein magar kab tak? Dheere dheere uska yeh zorr aur jazba toot chukka tha aur woh apni classes mein masroof hogayi thi. Nahi ayega woh ab ki soch usnay apnay dimagh mein betha li thi jis hee ki wajah se woh apna dihaan uske halaat se hatta saki thi. Kisi ko bhoolna wesay bhi kabhi asaan nhin hota tabhi woh ismein barri mushkiloun se kamyab bhi hoi thi. Magar jaise hee uska dimagh Salaar se hattne laga, sab cheezoun par paani pher gaya. Sab par.

Woh library mein kitaboun k shelf k paas kharri eik kitaab mein eik cheez ko sar sarri torh par parr rahi thi, magar dehaan apnay atraaf ki cheezoun mein tha. Kitaab mein nazarein daalne se pehlay entrance ki taraf dekha tha aur dobara kitab se nazarein utha kar dekhna para. Laal hoodie k neechay apna sarr dhaanpe, kaali jeans aur sufaid jootoun mein malboos, taqreeban 6 foot uncha eik jana pehchaana insaan nazar aaya. Inshyrah k chehray par eik gehri muskurahat ayi magar majaal hai jo uss insaan ne uski taraf eik nazar bhi daali ho. Inshyrah ki muskurati shakal par mayoosi chah gayi thi. Woh library mein seedha aata library k door dosray konay mein lagi tables par beth gaya.

Inshyrah ne apni kitab jhin jhalahat mein band ki jiski wajah se dhab ki awaaz ayi aur logoun ki eik nazar uspar parri, magar uski nazarein ab bhi ussi aadmi par thein. Wohi aadmi, jo ab bhi bekhabar apni kitaabein kholay betha tha.

Matlab k itne din waqqai ghayab tha, ya ignore maar raha tha. Mein bhi nhin jaarahi uskay paas! Salaar ko kitab mein dekhte Inshyrah apnay dimagh mein baatein karne lagi aur phir kitab wapis khol kar parhne lagi magar dehan ab bilkul hatt chuka tha. Har jumlay k baad uski nazar wapis uthti aur library ke dosri taraf bethay Salaar par jaati, iss umeed mein k agar woh usko dekh na raha ho toh kisi aur ko dhoondne k waastay hee unki nazarein miljayein. Bewaqoof dash insaan!

Aese hee daer guzar chuki thi aur apnay dimag ko mushkiloun se mananay k baad Inshyrah ne kitaab ko apnay seenay se lagaya aur uski taraf tezzi k saath barhi; samjh aaya k kaafi log hain idhar, magar itna observant bana phirta hai, mein nazar nhin ati isse?

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now