SIBLINGS' LOVE

935 46 41
                                    

{PLEASE IGNORE THE SPELLING AND THE GRAMMAR MISTAKE}

*********************************
Morning time,

A man with a well built body was doing push-ups in his gym room. He was talking to his assistant on the Bluetooth.

THE MAN: Shivani, woh sakshya (evidence) sambhal ke rakhna. Raghav jaise bade drugs smuggler ko saza dilwane ke liye woh saboot bahut hi avashyak aur bahut hi mahatvapurn hain. Hume kisi bhi kimat par usse salakhon ke pichhe daalna hain. Uski wajah se bahut saare masoom nau-jawan iss nashe ke aadi hokar apna bhavishya kho baithe hain. Make sure ki koi gadbad na ho. Hum kal dopahar ko woh saboot lene aa jaayenge. Tab tak aap usse sambhal ke rakhiyega.

SHIVANI (SN): Don't worry sir, main isse jaan se jyada sambhal kar rakhungi. And I know, yeh case bhi aap hi jeetoge hamesha ke tarah. Aur uss Raghav ko toh saza hokar hi rahegi aur insaaf bhi hoga kyunki yeh case the great Anubhav Singh lad rahe hain.

Yes, he was our AS.

AS: (smiling) Don't worry Shivani, aapko aapki tankhwa (salary) sahi samay par mil jaayegi. Hume maska lagane ki zaroorat nahi hain.

SN: (chuckled) Sir, hum genuinely bol rahe hain. Hum chaar saal se aapke saath kaam kar rahe hain. Inn chaar saal mein kabhi mujhe  meri salary late nahi mili. Aur main aapke saath kaam sirf paiso ke liye nahi karti, aapke saath kaam karke mujhe bahut kuch sikhne ko milta hain aur saath hi saath anyay ke khilaf ladne ki takat bhi.

AS: Prashansa ke liye shukriya. Ab tarif bahut hui. Chaliye hum phone rakhte hain. Bye.

SN: Bye sir.

He finished his push-ups and stood up. He took a towel and started wiping the sweat. Then a pair of soft and smooth hands closed his eyes. He smiled and said sweetly,

AS: Suprabhat behna.

KS: (putting her hands on his shoulders) Good morning bhaiyya. Ab aap jaldi se naha ke breakfast ke liye aa jaayiye. Humne aaj aapke pasand ka nashta banaya hain, woh bhi apne haato se.

AS: Kya baat hain, aaj apne bhaiyya par itna prem kyun aa raha hain?

KS: Kyun hume aap par pyar nahi aa sakta?

AS: Aa sakta hain, shat pratishat aa sakta hain. Parantu keval tab hi aa sakta hain jab aapko humse kuch kaam hota hain. Ab batayiye ki kya kaam hain aapko humse.

Saying this he turned and looked her. She made a face and said,

KS: (childish) Aapko kya lagta hain hum tabhi aapko pyar karte jab hume aapse kuch kaam nikalwana hota hain. Aap hume matlabi samajhte hain? Jaayiye, hume aapse baat hi nahi karni.

She said this and sat on a chair. She crossed her arms near her chest with a grumpy and cute face. He smiled and went near to her. He knelt down, took her hands in his hands and said sweetly,

AS: Offo behna.... Ab yeh bachcho jaise ruthna aapko shoba nahi deta. Ab aap badi ho gayi hain.

KS: Wah! Kabhi kehte ho ki hum ab bade ho gaye ho aur kabhi kehte ho ki hum hamesha aapke liye bachche hi rahenge. Aap pehle decide kijiye ki hum bade ho gaye hain ya abhi bhi bachche hain. Waise toh kal raat ko bua ji ke saamne bade Hero banke keh rahe the (mimicking him) "Karishma humari behna hi nahi humari bachchi hain, humari jaan hain. Unke saare nakhre hum aankh band karke uthayenge." Aur abhi hum thoda sa rooth kya gaye aap se toh hume manana bhi nahi ho raha hain.

AS: Haan humne aisa kaha tha kyun ki bua ji aapko daat rahi thi jo humse sahen nahi hua. Aur hum apni kahi hui baat par ab bhi adig hain. Aap batayiye, kaise manaye hum aapko? Aapko shopping par jaana hain?, Ye lijiye humara wallet (giving his wallet to her) aapko jitna chahiye utna shopping ke liye paise le lijiye. Par aap humse yun rushth mat raha kijiye. 

YOU ARE MY STRENGTH MY LOVEजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें