APOLOGY NOTE - [NOT A PART]

471 22 22
                                    

Hi friends,

This is not a part of the story but an apology note. Aaj main yanha maafi mangne aayi hoon. Nahi nahi, main yeh story unpublish ya delete nahi karne wali aur na hi writing chhodne wali hoon. Maafi mangne ki wajah kuch aur hi hain. End tak padhna toh pata chalega.

Toh maine naa aaj ek movie dekhi. Itni ghatiya movie thi naa woh ki puchho mat. TV phodne ka mann kiya tha. Kuch scenes toh aise the jinhe dekhkar lag raha tha ki dharti phat jaaye aur main usme sama jaaun. Sachchhi!

Humari filmein kitni bhi achchhi ho par mujhe ek buri baat lagti hain ki jyadatar filmon mein, I repeat jyadatar filmon mein, SAARE filmon mein nahi bola maine. Toh jyadatar filmon mein heroine ko ek showpiece ki tarah dikhate hain. Heroines/ladkion ko apni property samajhte hain. Heroines/Ladkiyon ko chhedna yeh heroism ki nishaani ki tarah hain. Unhe gaaliyan dena ya unn par haat uthana koi gunha nahi hain. HERO/LADKA AISA KAR RAHA HAIN TOH KUCH SAMAJHKAR HI KAR RAHA HOGA. LADKE KABHI BHI GALAT NAHI HOTE. Yeh hi cheez sikhne ko milti hain jyadatar baar.

So, jab main woh ghatiyan movie dekh rahi thi tab ek scene aata hain ki Heroine/Ladki jo hain woh jaan-bujhkar apne boyfriend ke dil mein apne liye nafrat paida karna chahti hain aur usse jhuth muth ka nicha dikha deti hain. And uske baad apna so called Hero usse jo kaskar thappad maarta hain naa, tab toh mann kiya tha ki yeh toh gajjab ka heroism hain. Abey mana ki woh tujhe galat bol rahi hain, par itna bhi galat nahi bola ki teri mardangi kum ho jaaye. To mujhe iss scene par bada gussa aaya tha. Ladki hain toh utha lo uss par haat, koi mana thodi na karega. Sachchi mere muh se gaaliyan hi nikal jaati agar woh aur lambi hoti toh.

Par film dekhne ke kuch minutes baad I realized ki I did the same thing in my story. Maine bhi aisa hi scene likha hain. Issi story ke'BREAK-UP' chapter mein ek aisa scene hain jisme AS bade pyar se HM ko thappad maarte hain. So, I realize ki yeh galat hain. Haan, yeh concept sahi hain ki Mard ko bhi dard hota hain and Ladke agar roye toh unki kamzori nahi hoti aur na hi rone se woh na-mard saabit hote hain. But aise ladki par haat uthana kanhi na kanhi galat tha. Yaar, iss cheez ko feminism se mat jodna. Ek hero ko ladki par haat uthana kanhi na kanhi shobha nahi deta hain. Villain se accept nahi kar rahi main. Hero aur Villain mein fark hota hain, mujhe pata hain. Toh, mujhe aisa lagta hain ki maine galti ki hain aisa likh kar. Ab situation aisi ho gayi thi ki mujhe aisa likhne mein tab koi galat baat nahi lagi. Dil toota hain toh gussa toh hoga hi. Par ek shant aur samajhdaar ladka aisa kare toh woh achchha nahi hain. Gussa karna alag baat hain aur haat uthana alag baat hain. Ab aage bhi shayad aisa koi thappad wala scene aayega par woh logically hoga. Par uss break-up wale jagah thappad ki koi zaroorat nahi thi aisa mujhe lag raha hain. Ab yeh mat samajhna ki main yeh sirf ladkiyon ke liye keh rahi hoon. Bahut saare jagahon par ladko ke saath bhi na-insaafi hoti hain aur koi samajhdaar insaan uss par dhyan nahi deta. Iss par dhyan dene ki zaroorat hain ki unke saath na-insaafi na ho.

So, main apni iss galati ke liye maafi maangti hoon, teh dil se. Hope ki aap meri iss anjaane mein hue galati ko maaf kar denge.

Also guys, please, share your thoughts on this topic.

YOU ARE MY STRENGTH MY LOVEजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें