THE BLESSING

452 65 18
                                    

---------------------------------------

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

---------------------------------------

{PLEASE IGNORE THE SPELLING AND THE GRAMMAR MISTAKES}

*_*_*_*_*_*

Continuation of flashback:-

AnuShma had no words after Maa's sudden statement. They were broken from the inside. How could she say that? They had complete faith in her as their most powerful support system. But this time they failed. Their Maa didn't support them. But Bua ji smiled after listening to her sister-in-law's words. She smiling said,

BUA: Dekha, ab toh tum dono ki Maa ne bhi humari baat ko sahi maan liya hain. Ab ka karoge tum dono? Apni Maa ke khilaaf jaaoge uss ladki ke liye?

Karishma said with moist eyes,

KS: Hume yakeen nahi ho raha hain Maa ki aap aisa keh rahi hain. Hume khud se jyada aap par vishwas tha. Hume laga tha ki koi aur na sahi par aap zaroor humara saath dengi. Aap bhi Bua ji ke saath ho gayi. Maa, aap toh kabhi aisa nahi sochti thi. Aaj hum aur bhaiyya agar sahi ko sahi aur galat ko galat kehte hain toh woh aapne hume seekhaya hain. Lekin aaj aap khud sahi raste se bhatak gayi hain.

BUA: Wah! Aaj tak toh tu hume sunati thi. Lekin ab apni Maa ko bhi sunane lagi. 

She turned to Maa and said,

BUA: Dekha bhabhi, kya kya sun-ne mil raha hain aapko! Iss liye hum aapko kehte the ki iske par kaat do. Aaj itna ud rahi hain ki sabko apne pairo tale samajhne lagi hain. Lekin humari kaun sunta hain iss ghar mein! Dekh liya na natija ladki jaat ko dheel dene ka? Ab bhugto!

KS: (shouted) Maa ko bhadkana band kijiye Bua ji.

BUA: Chillane se kuch nahi hoga. Bhabhi ne apna faisla suna diya hain. Woh uss manhoos Haseena ko iss ghar ki bahu nahi ban-ne degi. Samjhe tum dono?

KS was about to say something but Maa showed her palm to her. Maa came in front of Anubhav who was standing like a statue. His eyes were lowered. She asked him,

MAA: Tu kuch bolega nahi?

He looked at her and said in a painful tone,

AS: Kya bole Maa? Kuch samajh hi nahi aa raha hain. Maa, hum pure vishwas se sabse yeh kah rahe the ki humari Maa hamesha satya aur sahi ka saath deti hain. Kintu aaj pehli baar hum galat ho gaye. Maa, kyun... kyun aap aaj sahi raasta nahi chun rahi hain? Kyun aaj aap woh baat bhul gayi jo aapne hume aur behna ko bachpan se sikhayi hain ki chahe kuch bhi ho jaaye, chahe koi kuch bhi kahe parantu hume kabhi satya aur sahi ko nahi chhodna chahiye. Parantu aap swayam aisa nahi kar rahi hain. Kyun Maa?

YOU ARE MY STRENGTH MY LOVEजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें