Friends like family

233 31 20
                                    

Part - 86

Lala: Tujhe kya lagta hai Mini? Neil ke accident ke peeche...

Mini: Ussi ka hath hai. Khair, woh toh aap handle kar loge naa? Mujhe ek aur help chahiye. Main chahti hoon ki Neil ko hum Patiala le jaye. Dekhiye na yahan ki halat. Yeh nursing home kitna unhygienic hai. Yahan kaise uska ilaaj hoga? Woh abhi bhi behosh hai. Hum jab se aaye hain yahan doctor bhi nahi hai. Aur andar jis ward mein woh hai, uski halat bhi kitni kharab hai. Itne saare log ek hi ward mein, it's not safe.

Lala: Mini woh general ward hai isliye...

Mini: I know par please...main nahi chahti ki yahan uska treatment ho.

Lala: Doctor ko aane de Mini. Phir jaisa woh bole...

Mini: Par kahan hai doctor? Abhi tak toh aaya nahi koi. 

Doctor: Kya ho raha hai yahan? Please thoda dheere baat kijiye. Inspector aap...

Lala: Sorry doctor. Lekin hum bahot der se aapka wait kar rahe hain.

Mini: Doctor, woh...andar Neil...uska accident...woh theek toh ho jayega naa?

Doctor: Aap?

Mini: Mini.

Doctor: Relax Ms. Mini. Hum examine kar rahe hain patient ko. Aap please reception par admission form fill kar dijiye aur shayad ek aur form fill karna pade. Par fihaal aap reception par jaiye.

Mini: Ek aur form? Kis liye?

Doctor: Dekhiye main aapko koi bhi jhoothi umeed nahi dena chahta. Unki halat bahot critical hai. Abhi hum check kar rahe hain par please hume time dijiye. Aur agar operation karna pade toh humein surgeon ko bahar se bulana padega. Yeh ek chota sa nursing home hai. Yahan zyada facilities nahi hai.

Mini felt somebody just pierced her heart. Tears formed up in her eyes, however, she controlled herself.

Mini: Op...operation? Par bahar se surgeon?...Doctor, hum usey Patiala le jana chahte hain. Is it safe?

Doctor: Of course! Isse better kya hoga? In fact, wahan aapko better resources mil jayenge aur surgeons bhi. Bas ek cheez ka khyal rakhna hoga, ki woh time par hospital pahunch jaaye.

Mini: Toh humein der nahi karni chahiye. Lala uncle, please...

Lala called for an ambulance and within no time, Neil was shifted into the ambulance. They reached Patiala and got him admitted in the hospital.

Mini: Thank you Lala uncle. Aaj aap ki wajah se...

Lala: Ab tu apne Lala uncle ko thanks karegi? Bachhi jaisi hai meri. Achha sun ab, mujhe jana hoga. Geeta ji ko bheju yahan?

Mini: Nahi, par aap Arya ko please unke pass drop kardo. Aur ek request hai, please Dadu Biji ko kuch mat batana abhi. Main khud bata dungi unhe. Aur Geeta aunty se kehna ki baki staff ko bhi abhi kuch na bataye.

Lala: Kab tak chhuapaegi Mini?

Mini: Thodi der mein Biji ka phone aa jayega. Bata dungi.

Arya went with Lala, though she wanted to stay but Mini didn't allow her. Saumya and Mini were in the waiting area while the doctor was examining Neil. Mini was getting worried as it was taking time. She was anxiously taking rounds of the corridor.

Saumya: Mini, please baith jaao.

Mini: Yaar Saumya, yeh doctor abhi tak aaye kyun nahi bahar? Itna time kyun lag raha hai?

Saumya made her sit on the bench.

Saumya: Mini, please shaant ho jaao. Give them some time. Doctor dekh rahe hain naa. Thoda time toh lagega. Tum raat se itni problems mein ho. Kuch nahi khaya naa tumne? Main canteen se kuch le aati hoon.

Meetha Ishq: An Untold Story of Two Souls | MiNeil | Patiala Babes | SouNoor जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें