His realisation & broken heart 💔

839 104 38
                                    

( Feel the song while reading 💔)

After reading her diary he fall into his knees and huggs her diary against his chest.

{ Maine kaha tha sath rahunga, banuga me tera saaya.......
Par kuch kadam bhi tere sang,
me chal nahi paya......
Tu sahi thi Teri uljhan,
me samajh hi na paya......
Tu gayi to na jaane kyo,
Koi kami si laage re.......
Mere dil me jaaga dard Tera
Rishta Tera Mera × 4}

He was crying badly on the floor. He was continuosly crying while murmuring to himself "meri bondita ko kitna kuch dekhna pada, kitna kuch sehna pada!!! Kitna dard kitni takleef Hui use!! Vo kitna bharosa karti thi mujhpar...... aur maine uska bharosa ek pal me Tod diya!" He was blaming to himself for all her problems and her bed conditions. "Kaisa laga hoga usko😭? Jab use un gande hatho ne chua hoga🥺!! Kitni dari hogi😣??? Kitni sahemi hogi un gandi nazro se gande sparsh se!! Me....me.....soch bhi nahi sakta😖 uska dard uski takleef! Kaise usne apne aap ko sambhala hoga un raato me!! Us dard me jo use bevajah diye honge us raksas ne me meri.....meri bondita ko 😭😭 kaise usne vo sab Saha hoga kaise usne apne aap ko samarpit kiya hoga! Kaise usne akele us pidaa ka samna kiya hoga jo badi badi aurtein bhi nahi seh paati hai??? Kaise??? Kaise????" He was asking himself while crying from the core of the heart. He was thinking about her pain and her condition of her marriage.

{ Rooh meri kanpti hai,
gahere andhiyaron me.....
Me bhi khud hu jaise shaamil,
tere gunha garon me.......
Tu jo gudiya mom ki,
jo dehti hai angaron me......
Chahe jo ho dard se,
me nikalunga tujhe.......
Han! Yahi hai,
ab sankalp mera......
Rishta Tera Mera × 4}

He remembered his dream about her when he saw her in his dream how she was asking for help? How she was crying on bad helplessly? How she was bearing pain alone of that cruel men on her body? How she was remembering her sakha Babu will rescue her at any situation! Then he again blaming himself and said" Maine jo....vo....sapna dekha tha vo sacha tha?? Iska mtlb vahi dard vahi takleef use sehni padi thi? me......me bahot bura hu bondita 😭 bahot bura jo nahi samaj paaya ki tumhe us baal vivaah jaise nark me chodne se kya hoga! tum Tut jaogi, bikhar jaogi! nahi samaj paaya me ye dard ye takleef!! Me tumhara gunahgar hu bondita 😭 tumhare saath jo bhi hua! jo kuch bhi Saha tumne un sab ke liye sirf aur sirf eklota doshi me hu! mujhe samjhna chahiye tha khud se, nahi aana chahiye tha tumhari thaku ma ke jaal me. Nahi bharosa karna chahiye tha unka ki vo tumhe ek ujjwal bhavishya dengi vo tumhare sapno ko udan dengi tumhare pati tum par kabhi koi bandhan nahi lagainge! Khule asmaan me udne ke liye pankh denge na ki unhi pankho ko katenge " he was sobbing while cursing himself on ground. And he was beating his hand more and more on ground in that case his hand was bleeding more. But he doesn't realises his bleeding over her pain.

He was continued to himself "Tu jise apni kranti ki mashal leke chal Raha tha! samaaj se andera mitane ke liye, tune usi ke jivan me andhkar bhar diya Anirudh! Tune usi ka jivan nark bana diya! Tune apni bondita ko us hevaan ke paas chod diya jo use sirf aur sirf apne ichaye Puri karne ke liye istemaal karta tha! Tune apni bondita ka jite ji gala ghot diya Anirudh! Tune apni bondita khud se door kar diya hamesha hamesha ke liye, meri bon......nahi.....nahi tujhe koi haq nahi hai, bondita ko apni bondita kehne ka, aur ye haq tune khud khoya hai tune khud use us kupratha ke bhanvar me chodkar uska jivan nark bana diya hai" his anger and aggression was boiling inside and outside for himself and that men who was made her life worst. He was cursing himself and crying helplessly while hugging her diary against his chest.

He again spoke in middle while sobbing "me kaise najre milaunga bon.... bondita se? Me kaise uske samne jaunga? Me kaise uska dard batunga? Kaise use dilasa dilaunga ki uske sakha Babu abhi bhi uske saath hai chahe jo ho vo uska saath kabhi nahi chodenge!" He said to himself while crying heartedly.

AniDita : The Wall Between Us (Completed ✅)Where stories live. Discover now