9.Marichika

915 151 167
                                    

"Waah...bahut khoob ,likhawat(Handwriting) to bahut hi acchi hai...must say,You have done her good upbringing and educated her well Master ji,waise to hum ye purane jamane jaise ladki ko chhithi(Letter) likhwa kar nahi aankte(measure) ki wo kitni padhi likhi hai ya nahi...ab wo chhithi aur Taar(Telegram) wala jamana to reh nahi gaya ki emergency me log chhithi ya taar se hi connect kare...telephone ka jamana hai ab to...par chaliye accha hua aapne apni bitiya ko chhithi likhne bola...uske moti(Pearl) jaise sundar akshar aur shuddh vyakarana( grammer,means no grammatical mistakes) dekh kar samajh aa gaya ki wo padhayi ko le kar kitni sanjeeda(serious) hai.
Your handwriting generally says a lot about your personality...aur waise hume apne bete Sidharth par bahut bharosa hai...pehli baar usne kuch apni pasand se hume bola ya managa hai to yakinan(for sure) uski pasand acchi hi hogi yahi soch kar aanan phanan(suddenly) hum sab yahan aaye the par aap sab se mil kar,dekha samajh aur jaan kar bahut accha laga...Sidharth ki pasand wakai(really) bahut acchi hai..heere ki parakh to jauhari ko hi hoti hai..aur mera beta to khud heera hai..I can proudly say that.....hume pasand aayi aapki bitiya".Sidharth's father Ashok Rajput said to Shehnaaz's father.

"Professor sahab Upeksha(expectation) to yahi hai ki aapko koi shikayat(complain) na ho...hum aapke jaise bade log to nahi..par jitna ban sakega hum kosish karenge karne ka ..aapki sari demands..".Master ji spoke folding his hand.

Sidharth's father intervened.....

"bas yahi to chhoti baat kar di aapne...hume ghooma fira ke bat karni nahi aati Master Ji...sirf kul khanadan jaati ya dharam se aadmi bada nahi hota..soch se hota hai...log bade ya chhote nahi hote,soch chhoti badi hoti hai...beti khud annapurna,lakshami,saraswati hoti hai..uske rehte aur kisi cheej ki kya jarurat...I have taught the same things to both my children...hamari badi beti Kanupriya ke janam se hi hamare ghar me aur khushali aur saans barkat(growth and development) aayi...fir uski shadi ke bad ghar suna ho gaya ,Sidharth to waise bhi ghar par kabhi 1 hafte se jyada raha nahi ,ever since he joined IAF...chuttiyon me bhi pata nahi kahan se kaam doondh kar nikal leta hai...ghar par rehta kahan..ab beti ki kami Shehnaaz poori kar degi..beta jo aata jata raheha.. aapki beti sanskaron ki dhani(rich) hai,hume aapse aur kuch bhi nahi chahiye...padh likh kar bhi dahej jaise aadambar aur kupratha(malpractice ko badhawa diya to fir aisa padhna likhna bekar hai...haan par ek requeast hai aapse".

"Aisi soch sabki ko ho jaye to kisi beti ka baap apni beti dene aw darega nahi....par..kahir....Aap bas aagya (command ) den".Her father spoke.

"Command dene ka kaam to Sidharth ka hai...aur haq bhi hai uska..wo jo chahe aapse anurodh (request ) kar sakta hai,par hum bas yahi chahte hai ki jitna sambhav(possible) ho aap bas hamare rishtedaaron aur baraatiyon ka swagat apni yatha shakti(capabilities) se accha se accha kare..paise se nahi balki maan aur izzat se...koi kami na rahe unke maan samman aur swagat me..aur wo sirf paise se nahi aadar satkar (welcoming by good gesture) se hota hai...aap samajh rahe honge hamari baat".

"Ji..ji..bilkul...aap bilkul nishchint rahe..humse jitna ban padega hum wo sab karenge aapke aur apne bacchi ki khushi ke liye..aapki shan me koi kami nahi rahegi....bas ab aapse Rishta jud gaya hai...aapki izzat hamari aur hamari beti ka maan samman hai...".

"To bas fir Rishta pakka...Rita ji aapko koi baat karni hai shehnaaz beti se..ya Kanu Priya tumko to kar lo".Ashok Raput said to his wife and daughter.

Rita shrugged her head. She was silent all the past hours except exchanging few pleasantries and observing everything.

"Nahi Papa...why to bother her much..waise hi usko itna bhari tea set de kar aur khana serve karwa kar itna thaka diya hai subah se..itna khana bananne ki to jarurat bhi nahi thi.. prepared so good full of that much quantity in so young age.. but it was indeed yummy..must say,she is pro in cooking skills...it's quite impressive ..Montu ke to mazze hai..the one foodie he is!!..mujhe pasand hai meri hone wali Bhabhi bahut".Kanu Priya spoke smiling at Sehnaaz.

Ishq ka Raang Safed PiyaWhere stories live. Discover now