🔹sixteen🔹

2 0 0
                                    


Author's POV:

"Aap ab bhi apne ghar nahin jaate?" And here came the question Shaharyar dreaded.

"Noor, inn sabke ke baare mein baat nahin karte hain na.. "

There were sitting near a lake right now. As expected they were lost in the dark and were now in the middle of a forest. Saad was completing his beauty sleep under a tree.

"Baat nahin karte, agar sab hamare saamne na hota to. Kya aapko dikhta nahin hain aapki family kitna tadapti hain aapke liye.. "

"Main.."

"Aap kyun unse door rehna chahate hain. Door rehne ke liye koi valid reason bhi toh hona chahaiye. Kya reason hain aapke paas... Bataiye..."

"Mujhe nahin lagta ke main unka pyar deserve karta hoon... "

There was silence for sometime.

"Aur aapko aise kyun lagta hain. Unhone kabhi aisa kahan hain aapse?"

"Nahin.. Bilkul nahin, balki unhone toh mujhe baahe felake apnaya tha.. Bas main hi.."

"Aap hi??"

"Main hi unhe nahin apna paaya.. "

"Phir, Aapko aisa kyun lagta hain ki aap unka pyaar deserve nahin karte.."

"Kyunki, kyunki main.. Main nahin tha unke saath jab unhe meri jaroorat thi.. Maine unka saath chor diya. Mujhe jab Munawar Abbu apne ghar le gaye the toh maine iss ghar ko piche mudke dekha hi nahin, kabhi janne ki koshish hi nahin ki woh log kaise hain, kahan hain. Kabhi unka haal pucha hi nahin.. Kabhi unse milne nahin aaya, baat nahin ki, koi connection nahin rakha, to ab..  Ab main... Main kis haq se, kis haq se kahun ki yeh meri family hain.."

Shaharyar cried in between. He was breathing hard. Noor so wanted to hug him and provide him the comfort and warmth.

"Dekhe, iss mein aap ki koi galti nahin, aap bhi bacche the uss waqt. You didn't know where your life was leading you. Aapko nahin pata tha ki suddenly aapki ek se do families kaise ho gayi, do ammi-abbu kaise hogaye, ab apke paas do ghar the apna kehne ke liye. Aap ko nahin samajh aaya ki aapko dono ke saath same relations maintain karne hain. Aur jab samajh aaya toh aapko laga ki bohat late ho chhuka hain, abhi halat badal nahin sakte, right?"

Shaharyar was surprised at the way she understood him without even saying. He just nodded.

"Iss mein aapki galti nahin hain, galti toh tab hoti jab aap jaan ke bhi unhein ignore karte, Jo aap abhi kar rahe hain, woh aapko apni life mein chahte hain. Aapne abhi kahan right, they welcomed you with open arms, phir aur kya indication chahiye aapko.. They want you in their lives, iss liye toh aapko ab bhi aapko apne paas chahte hain.. Aapke Ammi-Abbu ke pyaar pe jitna haq Mahaa Appi, Minal Aapi, Sarmad aur Saad ka hain, utna aapka bhi hain, apke bhai-behen aapke saath ke liye taraste hain.. Have you seen the longing on their faces?"

She held his cold hands into her warms ones.

"Iss puri duniya mein agar kisiko sach mein koi matlab hain na aapke jeene ya marne se toh woh aapki family hain. Aur aisi family jaisi aapko mili hain, woh har kisiko nahin milti. Aise parents jo aapki care kare, aapke bare mein jaana chahe.. Aise siblings bhi kisiko nahin milte. Aap bohat lucky hain.. Is pyaar ko waqt rehte hi tham lijiye warna kahin jyada der na ho jaye.."

"Main unhe nahin janta Noor, main unke baare mein kuch nahin janta. Unhe kya accha lagta hain, kya bura lagta hain, kisse khushi milti hain, kisse dukh hota hain, mujhe kuch nahin pata.."

"Toh baat kariye, janne ki koshish kijiye unhe. Trust me aisa koi issue nahin hain jo baat karke suljhai na ja sake, bas iraada hona chahiye.. Woh aapke taraf kadam badha rahe hain toh aap bhi ek badhaye na.. And let me tell you, agar aap abhi bhi iss baat pe adhe hain ki unhone aapko hi kyun khudse alag kar diya toh you should be grateful, kyunki aaj aap yahan hain, aapke itne paise hain, yeh power hain toh sirf unki wajah se.. Because they thought that you should have a better future.."

HealingWhere stories live. Discover now