【 Night 】

615 34 14
                                    


Book padhne ke baad me to kafi dar gaya tha . Kyonki hum jis jagah ke bare me padh rahe the , us bakt hum usi jagah par the.

Mere dar ko todte huye mukul bola " kyo na aaj raat ko hum village m hi ruke "

" abe tu pagal he ? , marwayega kya sabko ", shruti ne foran virodh kiya

" mujhe dar to lag raha tha lekin ye janne ka v bohot man tha ki sach much yaha bhoot hai ya nahi .
To apne isi sawal ke jawab ke liye mene village m chalne ki haa kar di.
Or badi muskil se sabhi ko vaha raat rukne k liye mana v liya."

Dophar ko humne village ka byora kiya. Thodha bahut hi ghoom paye the
Kyonki hume baha raat jo rukni thi
Or usi ke liye tayyari v to karni thi.

Kher hum apne sath tent ka saman v laye huye the. To humne village ke beecho beech tent laga liya.
Or baki khane peene ka saman lene hottel me chale gaye.
Kareeb 5:00 baz chuke the.

Hum sab saman lekar baha pahunche

TIME - 6:00 ...

Or village ke gate bahar se band kiye ja chuke the.

Ab us veerane me hum kebal 5 log hi the.

1 hour baad ..

Raat ho chuki thi . Charo taraf sannata chha chuka tha.

Hum logo ke dil me sirf ek hi cheej thi wo tha dar.

Hum sab log tent ke bahar aag jala kar baithe huye the.

Me tent se thoda door baitha huya tha.

Ki achanak mujhe kisi ke photo click karne ki aabaz aayi .

mene aas paas dekha to ek aadmi dikhayi pada jo photo click kar raha tha.

Me uske pass gaya or pucha " aap itni raat gaye yaha kya kar rahe ho.
Yaha ke bare m pata nahi hai kya aapko.

" pata he mujhe , suna he bhooto ka dera h yaha par "us photographer ne kaha.

" to fir aap bhooto me nahi mante kya ", mene poocha.

" manta hu na , kya pata wo humare aas pass hi ho. Bas hum usko pahchan nahi paa rahe hai ", wo photographer bola .

Tabhi aachanak muehe esa laga ki kisi ne peeche se mere kandhe par haath rakha ho.

Jese hi mene peeche mud kar dekha to mere peeche vishal tha.

Wo bola :- " yaha kya kar raha h , chal sab tujhe bula rahe h.

To mene kaha ki " me to yaha inse baat kar raha tha .

" abe kin se baat kar raha tha , tu to kab se yaha akela baitha h ", vishal ne kaha.

Ye sunte hi me peeche muda to dekha ki sach much baha koi nahi tha .

Ye hum sub ke liye khatre ki ghanti thi. Me ekdam se heran pareshan ho gaya.

Vishal ke sath camp pahuch kar mene ye baat sabko batayi .

Hum sub khouf me the.

Humne faisla kiya ki abhi ke abhi yaha se bahar jayenge.

Or hum sub ek doosre ka haath thame huye gate ki taraf bade ja rahe the.

Hume aajeeb aajeeb si aawaje sunayi dene lagi. Kahi payal ki , to kahi chudiyo ki , kahi kisi ke baat karne ki , to kahi kisi ke hasne ki.

Humare kadam or tez ho gaye.
Hum jald se jald yaha se bahar jana chahte the.

Chalo jese tese hum gate tak pahuch hi gaye. Lekin ab gate kisse khul wayenge.
Na hi waha koi tha , or na hi mobile m signal.

Humne khub aawaje lagai
Lekin koi v nahi aaya.

Or waha hume bohot jyada dar v lag raha tha.
To humne camp wapas lout ne ka faisla kiya.

Or chal diye.

Kuch door hi chale the ki mujhe peeche se usi aadmi ki aawaaz aayi
" suno rahul , kaha ja rahe ho , yaha aao ."

M peeche dekhne hi wala tha ki...

" rahul peeche mud kar mat dekhna seedhe chalte raho , nahi to hum sab ke sath bohut bura hoga " shyam ne mujhse kaha.

" rahul peeche mud kar mat dekhna seedhe chalte raho , nahi to hum sab ke sath bohut bura hoga " shyam ne mujhse kaha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Humari speed kafi badh chuki thi.
Or lag bhag hum humare camp tak pahuch hi gaye the.

Jese hi hum camp ke najdeek pahunche humare to hosh hi udd gye

Kyonki poora tent gir chuka tha.
or humara sara saman bikhra hua tha.

Av hum samajh gaye the ki wo ruhh humare peeche lag chuki h.
Or hume mare bina chain nahi legi.

" yr av kya karenge , hum to poori tarah se fas chuke h ", shruti ne kapte huye kaha .

" av hum sab mare jayenge " vishal ne kaha.

Me v bohot dara hua tha.

Tabhi.....

" Nahi , koi nahi marega .
Hum ladenge ,", shyam ne poore josh ke sath bola.

Ha hum ladenge ," shruti ne kaha.

" par hum sab mare jayenge " vishal bola.

" yrrr kya hum apni jaan bachane ke liye koi prayash v nahi kar sakte . Agar kuch nahi kiya to jaroor mare jayenge . Lekin agar prayash kiya to shayad bach v sakte h . ", shyam ne kaha.

Uski baat sunkar meri v himmat badh gayi

Or ...

hum sab ne unka datkar samna karne ki thanii.

.... To be continue .

The Haunted Village #KULDHARA/indiaWhere stories live. Discover now