Part:22

1.1K 139 33
                                    

Om sat beside Gauri in the garden. She was looking to the sky. Om also sat there silently for some time. After sometime Guari speak up.

Gauri: kya sab sach kehte hai?

Om(looked at her): kya?

Gauri: yahi ki jo log bhagvanji k pass chale jate hai, vo tare ban jate hai?

He realised that she was upset because she was missing her family and again feeling guilty because of their death. He knew that she never opened up to anyone after his family's death. He decided to lighten up her mood and decrease her guilt.

Om: han, sach to hai...aur log ye bhi kehte hai ki vo vaha se hame dekh rahe hote hai...jab mein chota tha tab mere nana bhi bhagvan ji k pass chale gaye the...aur mein bahot roya tha par phir mujhe mom ne kaha ki agar hum rote hai ya pareshan hote hai to unhe bilkul bhi acha nahi lagta...mujhe lagta hai tumhare parents aur Saumya bhi tumse naaraj honge...

Guari: kyun?

Om: kyunki tum pareshan rehti ho hamesha, sabse gussa rehti ho, kabhi hasti nahi ho,,baar baar jo bhi tumhare saath hua use yaad karti rehti ho aur use yaad karke phir roti rehti ho...kya agar aaj vo yaha hote aur tumhe aise dekhte to vo khush hote? kya unhe ek muskurati hui Gauri pasand hai ya phir aise roti hui Guari pasand hai? (Gauri's eyes became teary) vo log bhi vaha pareshan honge ye soach kar ki tum kab pehle jaisi hasti hui Guari banogi...tum hi batao ki tumhare mumma papa ko ye acha lagega ki tum kisi se thik se baat nahi karti, kisi ko apni problems nahi batati (she nodded)...to phir!! Batao mujhe ki kya problem hai...(she didn't speak anything for sometime) 

I knew it...mujhe pata tha...(she looked at him curiously with water filled eyes) tumne uss din hospital mein aise hi keh diya tha,,yaad hai jab mein behhosh tha tab tumne kaha tha ki please don't leave me friend!! tumne sab juth kaha tha, tumne kabhi mujhe apna friend mana hi nahi, ek mein hi pagal tha jo tumhare piche hamesha ghumta rehta hoon (she looked at him while nodding continuously) nahi rehne do tum...

Guari(put her hand on his hand): aisi baat nahi hai...tum mere liye Rudra aur Bhavya jaise hi ho! you are my friend. Tumhe aisa kyun lagta hai ki mein tumhe apna friend nahi manti?

Om: kyunki tum mujse kuch share hi nahi karti...please Guari batao mujhe ki kya hua hai? tum kyun pareshan ho 2-3 dino se? kyun mujse baat nahi kar rahi thi? sabko avoid bhi kar rahi thi? aur aaj tum office bhi gayi thi, sirf mujhe avoid karne k liye? kyun Guari? kya maine kuch kaha jisse tumhe bura laga hai? Kya mujse koi bhul hui hai? (he fold his hand) dekhho agar meri galti hai to mein haath jodkar tumse maafi mangta hoon please... (but before that she stopped him)

Gauri: nahi Om tumhari koi galti nahi hai please don't say sorry!! 

Om: to please batao ki kya baat hai...mein tumhe aise nahi dekh sakta!!

Gauri(shifting her gaze again to sky): sab kuch meri vajah se hua hai Om...sab kuch...aur mein kuch bhi nahi kar payi...mere mom, dad, Saumya aur uska baby jisne abhi tak ye duniya dekhi bhi nahi hai...vo sab meri vajah se chale gaye...agar uss din vaha party mein maine uss Kali k saath vo nahi kiya hota to shayad vo sab yaha hote, mere pass...uss din vo meri car mein gaye the aur ussi vajah se ye hua hai...aur phir meri vajah se tumhe goli lagi,, agar kuch ho jata tumhe to mein apne aap ko kabhi maaf nahi kar pati, kabhi nahi....

Pata hai uss din jab vo accident hua to sab log Rudra ko lene ja rahe the, pehle mein hi jane vali thi par phir Saumya ne zid ki to vo sab chale gaye....

And she started narrating everything, everything that happened to her, her every emotion which were bottled up from long time, everything which Rudra told him, everything which he knew already still he listened all that with patience. He didn't even thought about disturbing her in between... just consoled her. He also didn't tried to stop her from crying. Indeed he was a good listener. If Om was not there then she couldn't share her sorrow or pain to anyone. 

Abhi Na Jao Chod Kar!!✔️Where stories live. Discover now